faqat hisse ki KHatir
faqat hisse kī ḳhātir
kaT ga.ī ye zindagī mīlād sunñe meñ
bilā jaane ki hissa hai to kaisā aur kitnā
ye sab āsāñ nahīñ thā
gulāb aur itr se bhārī fazā meñ saañs lenā
der tak āsāñ nahīñ thā
na āsāñ thā samajhne kī adākārī bhī karnā
us zabāñ ko
jis se maiñ nā-āshnā thā aur vo bhī bā-adab rah kar
bahut bhārī thā bele kā vo gajrā
jo pahnāyā gayā thā mujh ko aglī saf meñ baiThāne se pahle
haañ sazā jaisā thā merā baiThnā us saf meñ
jis meñ ek bhī bachcha nahīñ thā
aur jahāñ se duur thiiñ sab chilmaneñ
aur un se chhantī raunaqeñ
ye sab qurbāniyāñ de kar agar hisse kī ḳhvāhish hai mujhe to kyā ġhalat hai
mire hisse kī ḳhvāhish par hañso mat
mirā hissa to pakkā hai agar maiñ so bhī jā.ūñ
ḳhudā ko sab patā hai
faqat hisse ki KHatir
kaT gai ye zindagi milad sunne mein
bila jaane ki hissa hai to kaisa aur kitna
ye sab aasan nahin tha
gulab aur itr se bhaari faza mein sans lena
der tak aasan nahin tha
na aasan tha samajhne ki adakari bhi karna
us zaban ko
jis se main na-ashna tha aur wo bhi ba-adab rah kar
bahut bhaari tha bele ka wo gajra
jo pahnaya gaya tha mujh ko agli saf mein baiThane se pahle
han saza jaisa tha mera baiThna us saf mein
jis mein ek bhi bachcha nahin tha
aur jahan se dur thin sab chilmanen
aur un se chhanti raunaqen
ye sab qurbaniyan de kar agar hisse ki KHwahish hai mujhe to kya ghalat hai
mere hisse ki KHwahish par hanso mat
mera hissa to pakka hai agar main so bhi jaun
KHuda ko sab pata hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 165)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.