faqiron ki basti
ye ḳhairāt hī kī karāmat hai aaqā
ye parde haTā de
baḌe bādshāhoñ kī sañgat hai
sālāna ḳhairāt kā mo.āmla hai
to tamġhe sajā mere aaqā tirī hāzirī hai
vo tamġhe jo mashriq ke malbūs par tanz haiñ
vo tamġhe jihādoñ ke jin ke patte jel-ḳhānoñ meñ fariyād-ḳhvāñ haiñ
vo jañgeñ nishāñ jin ke sarhad ke andar kahīñ dafan haiñ
ye ḳhairāt hī kī karāmat hai
utran se mānūs māhaul meñ
riit aisī chalī hai ki har marhale fikr meñ
sirf imdād imdād kī guḌguḌātī sadā hai
har ik fard ḳhairāt ke shauq meñ sargirāñ hai
ye parde haTā mere aaqā
ki tū bhī faqīr aur maiñ bhī
ye KHairaat hi ki karamat hai aaqa
ye parde haTa de
baDe baadshahon ki sangat hai
salana KHairaat ka moamla hai
to tamghe saja mere aaqa teri haziri hai
wo tamghe jo mashriq ke malbus par tanz hain
wo tamghe jihadon ke jin ke patte jel-KHanon mein fariyaad-KHwan hain
wo jangen nishan jin ke sarhad ke andar kahin dafan hain
ye KHairaat hi ki karamat hai
utran se manus mahaul mein
rit aisi chali hai ki har marhale fikr mein
sirf imdad imdad ki guDguDati sada hai
har ek fard KHairaat ke shauq mein sargiran hai
ye parde haTa mere aaqa
ki tu bhi faqir aur main bhi
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 71)
- Author : Scheherzade
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.