faraaz-e-arsh se aage
makāñ-o-lā-makāñ kī baat karte haiñ ye dīvāne
hamārī sar-zamīñ ke yā kahāñ ke haiñ ye afsāne
bhalā mirrīḳh par jaane kā ye azm-e-javāñ kyā hai
mujhe bhī kuchh batāo un kā andāz-e-bayāñ kyā hai
surūr-o-nūr meñ Duubī huī taqdīr kyā shai hai
koī kahtā hai ab kaunain kā har fāsla tai hai
koī fikr-e-javāñ kā naam le le ke uchhaltā hai
mah-o-anjum agar lā do to us kā jī bahaltā hai
nashāt-e-kāmrānī kā hai jazba kis ke siine meñ
huī hai vus.at-e-āfāq gum dil ke nagīne meñ
dil-e-kaunain chaliye gesū-e-getī se uljhā.e
farāz-e-arsh se aage makāñ ik aur ban jaa.e
makan-o-la-makan ki baat karte hain ye diwane
hamari sar-zamin ke ya kahan ke hain ye afsane
bhala mirriKH par jaane ka ye azm-e-jawan kya hai
mujhe bhi kuchh batao un ka andaz-e-bayan kya hai
surur-o-nur mein Dubi hui taqdir kya shai hai
koi kahta hai ab kaunain ka har fasla tai hai
koi fikr-e-jawan ka nam le le ke uchhalta hai
mah-o-anjum agar la do to us ka ji bahalta hai
nashat-e-kaamrani ka hai jazba kis ke sine mein
hui hai wusat-e-afaq gum dil ke nagine mein
dil-e-kaunain chaliye gesu-e-geti se uljhae
faraaz-e-arsh se aage makan ek aur ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.