fareb
chhīn kar mujh se mirī jaan mire dil kā qarār
tū ne gul kar hī diye merī umīdoñ ke charāġh
tū ne kyoñ ghol diyā zahr mirī rag rag meñ
tū ne kyoñ toḌ diye merī mohabbat ke ayāġh
mujh ko ma.alūm thā qātil hai tū armānoñ kī
dil-e-majrūh ke armānoñ se tū khelegī
dil nahīñ hai tire siine meñ koī patthar hai
dil se uThte hue tūfānoñ se tū khelegī
tū ne kyā ḳhuub diyā mujh ko mohabbat kā sila
umr bhar maiñ nahīñ bhūlūñgā mohabbat terī
apne is chāhne vaale ko diyā tū ne fareb
jis ne kī thī sahar-o-shām ibādat terī
ranj-o-ġham mujh ko atā kar ke zamāne bhar ke
merī rangīn bahāroñ ko ujāḌā tū ne
bevafā.ī tirī fitrat hai huā ab ma.alūm
tiir furqat kā mire siine meñ gaaḌā tū ne
chhin kar mujh se meri jaan mere dil ka qarar
tu ne gul kar hi diye meri umidon ke charagh
tu ne kyon ghol diya zahr meri rag rag mein
tu ne kyon toD diye meri mohabbat ke ayagh
mujh ko malum tha qatil hai tu armanon ki
dil-e-majruh ke armanon se tu khelegi
dil nahin hai tere sine mein koi patthar hai
dil se uThte hue tufanon se tu khelegi
tu ne kya KHub diya mujh ko mohabbat ka sila
umr bhar main nahin bhulunga mohabbat teri
apne is chahne wale ko diya tu ne fareb
jis ne ki thi sahar-o-sham ibaadat teri
ranj-o-gham mujh ko ata kar ke zamane bhar ke
meri rangin bahaaron ko ujaDa tu ne
bewafai teri fitrat hai hua ab malum
tir furqat ka mere sine mein gaDa tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.