Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb-kar shahr

Kamal Jafari

fareb-kar shahr

Kamal Jafari

MORE BYKamal Jafari

    fareb fareb ye shahr hai

    ye shahr makr ke hasīn jāma-e-darāz meñ

    taraqqiyoñ aaḌ meñ

    fareb de rahā hai lamha lamha rāhgīr ko

    ye shahr bhī ajiib hai

    yahāñ ḳhulūs-o-pyār amn dostī fareb haiñ

    fareb-e-guftugū naam hai fard amal

    fareb-e-rang-o-bū meñ kho ke rah gayā hai aadmī

    ye raunaqeñ ye bām-o-dar fareb fareb haiñ

    ye shahr bhī ajiib hai

    har ek jurm raast hai

    har ek raast jurm hai

    yahāñ hai nāravā ravā

    yahāñ koī sazā nahīñ

    ye shahr bhī ajiib hai

    hujūm-e-gumrahī meñ ghuT rahī hai rūh-e-zindagī

    fareb de rahī hai shakl-e-dostī meñ dushmanī

    sadāqatoñ ko sāmnā hai har qadam zavāl

    fareb-kār shahr ke fareb ajiib haiñ

    ye shahr bhī ajiib hai

    fareb hi fareb ka ye shahr hai

    ye shahr makr ke hasin jama-e-daraaz mein

    taraqqiyon ki aaD mein

    fareb de raha hai lamha lamha rahgir ko

    ye shahr bhi ajib hai

    yahan KHulus-o-pyar amn dosti fareb hain

    fareb-e-guftugu ka nam hi hai fard ka amal

    fareb-e-rang-o-bu mein kho ke rah gaya hai aadmi

    ye raunaqen ye baam-o-dar fareb hi fareb hain

    ye shahr bhi ajib hai

    har ek jurm rast hai

    har ek rast jurm hai

    yahan hai narawa rawa

    yahan koi saza nahin

    ye shahr bhi ajib hai

    hujum-e-gumrahi mein ghuT rahi hai ruh-e-zindagi

    fareb de rahi hai shakl-e-dosti mein dushmani

    sadaqaton ko samna hai har qadam zawal ka

    fareb-kar shahr ke fareb hi ajib hain

    ye shahr bhi ajib hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now