farishta koi na mujhe rok sake
terā chehra jhiil meñ khiltā huā kañval ho jaise
chāñd paanī meñ utar aayā ho jaise
sukūt nadī meñ chhāyā huā
ret chāñdī sī chamaktī huī
sargoshiyāñ chāñdnī meñ koī kartā huā
āhista āhista lab-o-ruḳhsār ko
chūmne kī koshish kartā huā
qānūn-e-fitrat se jaise ijāzat letā huā
jhiil kī āġhosh meñ
jism ko apne Dubotā huā
phir ek Dar sā taarī huā
haa.e ye sulagte hue jazbāt
betāb kiye dete haiñ
phir bhī dāman-e-sabr thāme hue
hai ik fitna mere qarīb
ḳhauf hai mujhe
farishta koī dekh rahā hai mujhe
kyūñki bahak jaane par
farishta-sifat hone kā
da.avā maiñ kar nahīñ saktā
mere mahbūb se kah do
jhiil ke kināre na mile
is ālam-e-be-ḳhudī meñ
ḳhud ko maiñ rok nahīñ saktā
kaash is tarah vo mujhe mil jaa.e
farishta koī na mujhe rok sake
tera chehra jhil mein khilta hua kanwal ho jaise
chand pani mein utar aaya ho jaise
sukut nadi mein chhaya hua
ret chandi si chamakti hui
sargoshiyan chandni mein koi karta hua
aahista aahista lab-o-ruKHsar ko
chumne ki koshish karta hua
qanun-e-fitrat se jaise ijazat leta hua
jhil ki aaghosh mein
jism ko apne Dubota hua
phir ek Dar sa tari hua
hae ye sulagte hue jazbaat
betab kiye dete hain
phir bhi daman-e-sabr thame hue
hai ek fitna mere qarib
KHauf hai mujhe
farishta koi dekh raha hai mujhe
kyunki bahak jaane par
farishta-sifat hone ka
dawa main kar nahin sakta
mere mahbub se kah do
jhil ke kinare na mile
is aalam-e-be-KHudi mein
KHud ko main rok nahin sakta
kash is tarah wo mujhe mil jae
farishta koi na mujhe rok sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.