farman-e-haq ke tabe
kyā tum ne dekhā nahīñ āThvīñ pahar
jab din par se raat khīñch lī jaatī hai
to āsmān kī mahfūz chhat par ek āḳhirī taara TimTimāne lagtā hai
qasam us Dūbte taare kī
us pahar-e-kāzib ke siine lag ke jab
merī chashm-e-tar tumhāre naam kā girya kartī hai
to mizhgān-e-kā.enāt meñ halkī sī jumbish paidā hotī hai
aur vaqt kī kokh se raushnī janam letī hai
phir din aur raat kā her-pher shurūa ho jaatā hai
aur samundaroñ meñ kashtiyāñ aur jahāz
insān ke fā.ede kī chīzeñ le kar chalne phirne lagte haiñ
aur āsmān se meñh barastā hai
jo murda zamīn ko zinda kar detā hai
aur bādal tairne lagte haiñ
chāñd suukh kar khajūr ke peḌ kī Daal ban jaatā hai
sūraj taḳht-e-falak pe baiTh ke raaj kartā hai
maut-e-saġhīra kā maza chakhne vaalī āñkheñ
hairat se khulne lagtī haiñ
aur karoḌoñ paañv rizq kī talāsh meñ nikal paḌte haiñ
aise meñ merī ufuq-tāb āñkheñ
ek baar phir
āThvīñ pahar ke
Dūbte taare ko
sochne lag jaatī haiñ khojne lag jaatī haiñ
kya tum ne dekha nahin aaThwin pahar
jab din par se raat khinch li jati hai
to aasman ki mahfuz chhat par ek aaKHiri tara TimTimane lagta hai
qasam us Dubte tare ki
us pahar-e-kazib ke sine lag ke jab
meri chashm-e-tar tumhaare nam ka girya karti hai
to mizhgan-e-kaenat mein halki si jumbish paida hoti hai
aur waqt ki kokh se raushni janam leti hai
phir din aur raat ka her-pher shurua ho jata hai
aur samundaron mein kashtiyan aur jahaz
insan ke faede ki chizen le kar chalne phirne lagte hain
aur aasman se meinh barasta hai
jo murda zamin ko zinda kar deta hai
aur baadal tairne lagte hain
chand sukh kar khajur ke peD ki Dal ban jata hai
suraj taKHt-e-falak pe baiTh ke raj karta hai
maut-e-saghira ka maza chakhne wali aankhen
hairat se khulne lagti hain
aur karoDon panw rizq ki talash mein nikal paDte hain
aise mein meri ufuq-tab aankhen
ek bar phir
aaThwin pahar ke
Dubte tare ko
sochne lag jati hain khojne lag jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.