faryaadat
fāsle kī to ḳhair baat hai aur
Hyderabad dil se duur nahīñ
dillī meñ yuuñ zabān pe aa.ī dakan kī baat
sahrā meñ chheḌ deve koī jaise chaman kī baat
bazm-e-ḳhirad meñ chhiḌ to ga.ī hai dakan kī baat
ab ishq le ke aa.egā dār-o-rasan kī baat
ik husn-e-dakan thā jo nigāhoñ se na chhūTā
har husn ko varna ba-ḳhudā chhoḌ ga.e ham
'āzād' ek pal bhī na dil ko sakūñ milā
raste meñ dakan bhī thā kahīñ lucknow ke baa'd
'āzād' phir dakan kā samundar hai rū-ba-rū
le jā dil-o-nazar kā safīna sañbhāl kar
fasle ki to KHair baat hai aur
Hyderabad dil se dur nahin
dilli mein yun zaban pe aai dakan ki baat
sahra mein chheD dewe koi jaise chaman ki baat
bazm-e-KHirad mein chhiD to gai hai dakan ki baat
ab ishq le ke aaega dar-o-rasan ki baat
ek husn-e-dakan tha jo nigahon se na chhuTa
har husn ko warna ba-KHuda chhoD gae hum
'azad' ek pal bhi na dil ko sakun mila
raste mein dakan bhi tha kahin lucknow ke ba'd
'azad' phir dakan ka samundar hai ru-ba-ru
le ja dil-o-nazar ka safina sanbhaal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.