fasil-e-shab
ye dekhnā hai fasīl-e-shab kā hisār kab tak rahegā qaa.em
ye dekhnā hai fasīl-e-shab meñ panāh tum ko milegī kab tak
ye dekhnā hai rahegī kab tak ye jaur-e-paiham kī bālā-dastī
ye dekhnā hai ki zulm kī teġh ḳhūñ-fishānī karegī kab tak
sitam kī mī'ād aur kitnī tavīl hogī
sub.h kī mī'ād aur kitnī tavīl hogī
sajeñgī nau-e-bashar ke pākīza ḳhuuñ se kab tak ye qatl-gāheñ
lahū ye kab tak yūñhī bahegā
magar
ye shab jo ki muḳhtasar hai
yaqīn rakkho ki ye shab-e-zulm muḳhtasar hai
ki zulm ko hai zavāl āḳhir
tilism is kā hai TūTne ko
hisār-e-shab hai bikharne vaalā
liye hue mash'aleñ farozāñ
sahar ke ḳhuddām aa rahe haiñ
sahar kā paiġhām lā rahe haiñ
fasīl-e-shab ke qadam haiñ larzāñ
hisār-e-zulm-o-sitam kā maġhrūr sar hai Thokar meñ ġham-zadoñ ke
shab-e-siyah muñh chhupā rahī hai
sahar kā sūraj nikal rahā hai
ye dekhna hai fasil-e-shab ka hisar kab tak rahega qaem
ye dekhna hai fasil-e-shab mein panah tum ko milegi kab tak
ye dekhna hai rahegi kab tak ye jaur-e-paiham ki baala-dasti
ye dekhna hai ki zulm ki tegh KHun-fishani karegi kab tak
sitam ki mi'ad aur kitni tawil hogi
subh ki mi'ad aur kitni tawil hogi
sajengi nau-e-bashar ke pakiza KHun se kab tak ye qatl-gahen
lahu ye kab tak yunhi bahega
magar
ye shab jo ki muKHtasar hai
yaqin rakkho ki ye shab-e-zulm muKHtasar hai
ki zulm ko hai zawal aaKHir
tilism is ka hai TuTne ko
hisar-e-shab hai bikharne wala
liye hue mash'alen farozan
sahar ke KHuddam aa rahe hain
sahar ka paigham la rahe hain
fasil-e-shab ke qadam hain larzan
hisar-e-zulm-o-sitam ka maghrur sar hai Thokar mein gham-zadon ke
shab-e-siyah munh chhupa rahi hai
sahar ka suraj nikal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.