fasilen
ye merī chār-dīvārī
riyāsat hai mirī jis kī
maiñ ḳhud-muḳhtār malika huuñ
riyāsat kī hifāzat ke liye
atrāf dīvāreñ bhī uThtī haiñ
fasīleñ bhī to bantī haiñ
usī ke saath hī
ik aur sarhad bhī to hotī hai
nazariye kī
nazariye kī ye sarhad bhī hamārī hai
tahaffuz ke liye apne
kisī bhī andarūñ bairūn ḳhatroñ se
ye chādar chār-dīvārī zarūrī hai
to kyā is had meñ jo rahte haiñ
vo sab qaid hote haiñ
tumheñ bhī qaid lagtī huuñ
suno jaise hamāre mulk ke faujī
baqā-e-mulk kī ḳhātir hamārī sarhadoñ par
din raat pahre hote haiñ
isī tarah mirī chādar
hifāzat merī kartī hai
ye chādar chār-dīvārī
riyāsat hai mirī jis meñ
koī qaidī nahīñ huuñ maiñ
yahāñ rahte hue
be-fikr rahtī huuñ
bahut hī shaad rahtī huuñ
fasīleñ hī fasīleñ haiñ
magar āzād rahtī huuñ
ye meri chaar-diwari
riyasat hai meri jis ki
main KHud-muKHtar malika hun
riyasat ki hifazat ke liye
atraf diwaren bhi uThti hain
fasilen bhi to banti hain
usi ke sath hi
ek aur sarhad bhi to hoti hai
nazariye ki
nazariye ki ye sarhad bhi hamari hai
tahaffuz ke liye apne
kisi bhi andarun bairun KHatron se
ye chadar chaar-diwari zaruri hai
to kya is had mein jo rahte hain
wo sab qaid hote hain
tumhein bhi qaid lagti hun
suno jaise hamare mulk ke fauji
baqa-e-mulk ki KHatir hamari sarhadon par
din raat pahre hote hain
isi tarah meri chadar
hifazat meri karti hai
ye chadar chaar-diwari
riyasat hai meri jis mein
koi qaidi nahin hun main
yahan rahte hue
be-fikr rahti hun
bahut hi shad rahti hun
fasilen hi fasilen hain
magar aazad rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.