fasl-e-raegan
har baras in dinoñ maiñ kahīñ bhī rahūñ
silsile abr ke
sust-rau tez-rau qāfile abr ke
yūñhī aate haiñ qulzum luTāte hue
yūñhī jaate haiñ ye un kā dastūr hai
lekin ab ke baras
maiñ akelā sar-e-dasht tishna khaḌā
un ko rah rah ke āvāz detā rahā
mujh ko bhī saath lete chalo
qāfila chhuT gayā hai mirā
silsile abr ke
qāfile abr ke
yūñhī aate rahe
yūñhī jaate rahe
kab se āñkhoñ ko hasrat hai barsāt kī
har baras in dinon main kahin bhi rahun
silsile abr ke
sust-rau tez-rau qafile abr ke
yunhi aate hain qulzum luTate hue
yunhi jate hain ye un ka dastur hai
lekin ab ke baras
main akela sar-e-dasht tishna khaDa
un ko rah rah ke aawaz deta raha
mujh ko bhi sath lete chalo
qafila chhuT gaya hai mera
silsile abr ke
qafile abr ke
yunhi aate rahe
yunhi jate rahe
kab se aankhon ko hasrat hai barsat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.