fikr-dar-fikr
ḳhushnumā ek phal shāḳh-e-ummīd kā
markaz-e-ārzū mehvar-e-justujū ḳhema-e-rang-o-bū
har nafas har nazar ruuh kī aabrū
jism kī dastaras se bahut duur thā
aañkh us ke ujāle sajātī rahī
paas se duur tak us ke qadmoñ kī āvāz aatī rahī
us ko paane kā har ik jatan
zindagī kī lagan
roz-o-shab kasmasātī rahī
kāvisheñ dā.ere sī banātī rahīñ
koshisheñ kitne ḳhāke sajātī rahīñ
aur phir ik ajab sāneha vaqt ne likh diyā
āñdhiyoñ ne use toḌ kar merī āġhosh meñ rakh diyā
koshisheñ kāvisheñ dam-ba-ḳhud
aur ab vus.at-e-ārzū apne dāman kī tangī pe hairān hai
ḳhvāhish-e-rā.egāñ muntashir
kaun se ghar meñ āḳhir basā.ūñ use
zindagī kis tarah se banā.ūñ use
apne siine se kaise lagā.ūñ use
duur kā ḳhvāb jab paas aaya mire
mas.ala ban gayā
ab pata ye chalā
sochne aur karne meñ kyā farq hai
KHushnuma ek phal shaKH-e-ummid ka
markaz-e-arzu mehwar-e-justuju KHema-e-rang-o-bu
har nafas har nazar ruh ki aabru
jism ki dastaras se bahut dur tha
aankh us ke ujale sajati rahi
pas se dur tak us ke qadmon ki aawaz aati rahi
us ko pane ka har ek jatan
zindagi ki lagan
roz-o-shab kasmasati rahi
kawishen daere si banati rahin
koshishen kitne KHake sajati rahin
aur phir ek ajab saneha waqt ne likh diya
aandhiyon ne use toD kar meri aaghosh mein rakh diya
koshishen kawishen dam-ba-KHud
aur ab wusat-e-arzu apne daman ki tangi pe hairan hai
KHwahish-e-raegan muntashir
kaun se ghar mein aaKHir basaun use
zindagi kis tarah se banaun use
apne sine se kaise lagaun use
dur ka KHwab jab pas aaya mere
masala ban gaya
ab pata ye chala
sochne aur karne mein kya farq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.