furqat-e-das
huuk sī uThtī huī dil meñ numāyāñ dekhnā
dard-o-kulfat aur jigar meñ zaḳhm-e-ḳhandāñ dekhnā
be-bahā ġham meñ mujhe hotā pareshāñ dekhnā
merī āñkheñ ashk-zār-e-ḳhūñ meñ giryāñ dekhnā
par na mujh se pūchhnā mere dil-e-mahzūñ kā haal
ham-nashīno shaaq guzregī ye varna qīl-o-qāl
kyoñ na mere dil kī be-tābī sharar-angez ho
kyoñ na dil meñ maujzan tūfān mahshar-ḳhez ho
kyoñ na dāġh-e-dil mirā pal-pal meñ sho.ala-rez ho
kyoñ na bechainī mire dil kī qayāmat-ḳhez ho
jab ki taḌpā.e mujhe furqat jitendr naath kī
jab ki taḌpā.e mujhe hijrat jitendr naath kī
chal ga.ī hai qātil-e-saffāk kī go tujh pe ghaat
hai magar ai daas terī maut yād-e-kā.enāt
jis ke har asrār meñ pinhāñ hai ik rāz-e-hayāt
daūr-e-āzādī kī jis meñ haiñ hazāroñ kaifiyāt
tere tarz-e-fe.al se hai be-naqāb-e-hurriyat
har taraf jalva-fagan hai āftāb-e-hurriyat
terī qurbānī meñ muzmar hai hayāt-e-jāvidāñ
jis ne bhar diiñ azm-o-himmat kī diloñ meñ bijliyāñ
baḌh gayā shauq-e-shahādat baḌh ga.iiñ betābiyāñ
aur āzādī kī lahrā.eñge har-sū jhanDiyāñ
taḳhta-e-hindostāñ par inqilāb aane ko hai
is gulistān-e-burīda meñ shabāb aane ko hai
huk si uThti hui dil mein numayan dekhna
dard-o-kulfat aur jigar mein zaKHm-e-KHandan dekhna
be-baha gham mein mujhe hota pareshan dekhna
meri aankhen ashk-zar-e-KHun mein giryan dekhna
par na mujh se puchhna mere dil-e-mahzun ka haal
ham-nashino shaq guzregi ye warna qil-o-qal
kyon na mere dil ki be-tabi sharar-angez ho
kyon na dil mein maujzan tufan mahshar-KHez ho
kyon na dagh-e-dil mera pal-pal mein shoala-rez ho
kyon na bechaini mere dil ki qayamat-KHez ho
jab ki taDpae mujhe furqat jitendr nath ki
jab ki taDpae mujhe hijrat jitendr nath ki
chal gai hai qatil-e-saffak ki go tujh pe ghat
hai magar ai das teri maut yaad-e-kaenat
jis ke har asrar mein pinhan hai ek raaz-e-hayat
daur-e-azadi ki jis mein hain hazaron kaifiyat
tere tarz-e-feal se hai be-naqab-e-hurriyat
har taraf jalwa-fagan hai aaftab-e-hurriyat
teri qurbani mein muzmar hai hayat-e-jawidan
jis ne bhar din azm-o-himmat ki dilon mein bijliyan
baDh gaya shauq-e-shahadat baDh gain betabiyan
aur aazadi ki lahraenge har-su jhanDiyan
taKHta-e-hindostan par inqilab aane ko hai
is gulistan-e-burida mein shabab aane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.