ik sadī baad khulā ham pe tafakkur terā
aañkh pechīda ḳhayāloñ kī tahoñ tak pahuñchī
tere jazbāt kī ātish ne lahū garmāyā
fahm-o-idrāk shanāvar bane gahre-pan ke
ham ne ehsās se parkhā tire ehsās kā rang
ham ne jaanā hai kahāñ terī tamanna kā qadam
tū ne dil chiir ke zarroñ kā darūñ bhī dekhā
terī nazroñ meñ thā sūraj bhī charāġh-e-rah-e-bād
āgahī ne tujhe baḳhshī thī basīrat aisī
khel aurang-e-sulaimān huā tere nazdīk
be-haqīqat lagā ejāz-e-masīhā tujh ko
jab kahā tū ne ki har fard hai nā-ḳhvāñda-varaq
apnī hī zaat se vāqif na the tab ahl-e-hunar
ik sadī baad khulā ham pe tafakkur terā
ham ne jaanā ki tirī fikr hai bahtā dariyā
tere afkār nahīñ ek zamāne ke asiir
terā ehsās har ik asr se yuuñ guzregā
raushnī jaise añdheroñ se guzar jaatī hai
tū ne alfāz ko baḳhshī hai hayāt-e-jāved
sher haiñ jism faqat rūh-e-matālib tū hai
fikr kyūñkar na ho maġhlūb ki 'ġhālib' tū hai
ek sadi baad khula hum pe tafakkur tera
aankh pechida KHayalon ki tahon tak pahunchi
tere jazbaat ki aatish ne lahu garmaya
fahm-o-idrak shanawar bane gahre-pan ke
hum ne ehsas se parkha tere ehsas ka rang
hum ne jaana hai kahan teri tamanna ka qadam
tu ne dil chir ke zarron ka darun bhi dekha
teri nazron mein tha suraj bhi charagh-e-rah-e-baad
aagahi ne tujhe baKHshi thi basirat aisi
khel aurang-e-sulaiman hua tere nazdik
be-haqiqat laga ejaz-e-masiha tujh ko
jab kaha tu ne ki har fard hai na-KHwanda-waraq
apni hi zat se waqif na the tab ahl-e-hunar
ek sadi baad khula hum pe tafakkur tera
hum ne jaana ki teri fikr hai bahta dariya
tere afkar nahin ek zamane ke asir
tera ehsas har ek asr se yun guzrega
raushni jaise andheron se guzar jati hai
tu ne alfaz ko baKHshi hai hayat-e-jawed
sher hain jism faqat ruh-e-matalib tu hai
fikr kyunkar na ho maghlub ki 'ghaalib' tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.