gandhi ji ab bhi kahte hain
titlī
jugnū
shabnam
gul
nazroñ ke sab dhoke haiñ
jagmag karte mausam ke
saare manzar jhūTe haiñ
andar se sab TuuTe haiñ
pagDanDī par jīvan kī
raqs-o-surūd-o-nik.hat ban kar
ḳhushiyoñ kā kuchh ġhāza mal kar
hañstā hañstā chehra le kar
ik raahī jab chaltā hai
pal pal apne qadmoñ meñ
kañkar patthar sahtā hai
kāñToñ ko gul kahtā hai
lekin gāñdhī jī aksar
mere sar par
thapkī shafqat kī de kar
sargoshī meñ kahte haiñ
beTī
badle mausam meñ
ulTe-palTe lamhoñ meñ
raushan raushan lafzoñ se
ḳhushbū dete lahjoñ se
mīThī mīThī nazroñ se
muflis bekal duniyā ko
hargiz jannat mat kahnā
sach ko jhūTā mat karnā
haañ jī beTī mumkin ho to
qadmoñ se tum jīvan ke
kañkar patthar kāñToñ ko
chupke chupke chuntī rahnā
aur chāhat ulfat rāhat kī
anmiT daulat detī rahnā
qur.āñ giitā paḌhtī rahnā
insāñ ban kar jiitī rahnā
sach ko raushan kartī rahnā
titli
jugnu
shabnam
gul
nazron ke sab dhoke hain
jagmag karte mausam ke
sare manzar jhuTe hain
andar se sab TuTe hain
pagDanDi par jiwan ki
raqs-o-surud-o-nikhat ban kar
KHushiyon ka kuchh ghaza mal kar
hansta hansta chehra le kar
ek rahi jab chalta hai
pal pal apne qadmon mein
kankar patthar sahta hai
kanTon ko gul kahta hai
lekin gandhi ji aksar
mere sar par
thapki shafqat ki de kar
sargoshi mein kahte hain
beTi
badle mausam mein
ulTe-palTe lamhon mein
raushan raushan lafzon se
KHushbu dete lahjon se
miThi miThi nazron se
muflis bekal duniya ko
hargiz jannat mat kahna
sach ko jhuTa mat karna
han ji beTi mumkin ho to
qadmon se tum jiwan ke
kankar patthar kanTon ko
chupke chupke chunti rahna
aur chahat ulfat rahat ki
anmiT daulat deti rahna
quran gita paDhti rahna
insan ban kar jiti rahna
sach ko raushan karti rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.