gandhi-ji
nigāh-e-shauq meñ jalve jo tere aate haiñ
tajalliyoñ ke na.e taur jagmagāte haiñ
talāsh-e-haq meñ jidhar bhī jahāñ bhī jaate haiñ
tire hī naqsh-e-qadam rah-guzar meñ paate haiñ
tire jamāl se ai banda-e-ḳhudā sābit
ḳhudā ke nuur se insāñ banā.e jaate haiñ
kabhī jo dair-o-haram ke qarīb tak na ga.e
tirī samādhī ke aage vo sar jhukāte haiñ
bayān ek tirā naqsh ho gayā dil par
sunāne vaale fasāne bahut sunāte haiñ
ye kis muġhannī-e-kāmil kī bazm-e-rangīñ hai
yahāñ jo aate haiñ vo naġhma-bār aate haiñ
chaman unhī kā ye rang-e-chaman bhī un kā hai
jo bijliyoñ se yahāñ āshiyāñ banāte haiñ
jahān-e-amn meñ talvār chal nahīñ saktī
ḳhudā ke bande magar āzmā.e jaate haiñ
ye bazm-e-rind nahīñ mahfil-e-tarīqat hai
yahāñ hayāt ke sāġhar pilā.e jaate haiñ
maiñ jā rahā huuñ liye ek kārvān-e-hayāt
hazār rahzan-e-hastī mujhe Darāte haiñ
jo baj rahā hai zamāne meñ saaz terā hai
jo gā rahe haiñ faqat tere giit gaate haiñ
vo tujh ko aur tirā mudda.ā nahīñ samjhe
tujhe bashar se jo fauq-ul-bashar batāte haiñ
jinhoñ ne chuum liye paañv terī azmat ke
sitāre ban ke vo zarre bhī jhilmilāte haiñ
charāġh-e-rāh-e-sadāqat batā kidhar jaa.eñ
ki manziloñ ke añdhere hameñ bulāte haiñ
tire hī faiz se abnā-e-nazm-e-nau 'hindī'
na.ī zamīn nayā āsmāñ banāte haiñ
nigah-e-shauq mein jalwe jo tere aate hain
tajalliyon ke nae taur jagmagate hain
talash-e-haq mein jidhar bhi jahan bhi jate hain
tere hi naqsh-e-qadam rah-guzar mein pate hain
tere jamal se ai banda-e-KHuda sabit
KHuda ke nur se insan banae jate hain
kabhi jo dair-o-haram ke qarib tak na gae
teri samadhi ke aage wo sar jhukate hain
bayan ek tera naqsh ho gaya dil par
sunane wale fasane bahut sunate hain
ye kis mughanni-e-kaamil ki bazm-e-rangin hai
yahan jo aate hain wo naghma-bar aate hain
chaman unhi ka ye rang-e-chaman bhi un ka hai
jo bijliyon se yahan aashiyan banate hain
jahan-e-amn mein talwar chal nahin sakti
KHuda ke bande magar aazmae jate hain
ye bazm-e-rind nahin mahfil-e-tariqat hai
yahan hayat ke saghar pilae jate hain
main ja raha hun liye ek karwan-e-hayat
hazar rahzan-e-hasti mujhe Daraate hain
jo baj raha hai zamane mein saz tera hai
jo ga rahe hain faqat tere git gate hain
wo tujh ko aur tera muddaa nahin samjhe
tujhe bashar se jo fauq-ul-bashar batate hain
jinhon ne chum liye panw teri azmat ke
sitare ban ke wo zarre bhi jhilmilate hain
charagh-e-rah-e-sadaqat bata kidhar jaen
ki manzilon ke andhere hamein bulate hain
tere hi faiz se abna-e-nazm-e-nau 'hindi'
nai zamin naya aasman banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.