ghaar mein baiTha shaKHs
chāñd sitāre
phuul banafshī patte
Tahnī Tahnī jugnū ban kar
uḌne vaalī barf
lakḌī ke shaffāf varaq par
mor ke par kī nok se likkhe
kaale kaale harf
ujlī dhuup meñ
ret ke raushan zarre
aur pahāḌī darre
abr-savār suhānī shaam
aur sabz qabā meñ ek parī kā jism
surḳh laboñ kī shāḳh se jhaḌte
phūloñ jaise ism
rañg-ba-rañg tilism
jhiil kī tah meñ Dūbte chāñd kā aks
Dhol kī vahshī taal pe hotā
nīm-barahna raqs!
kaise kaise manzar dekhe
ek karoḌ baras pahle ke
ġhaar meñ baiThā shaḳhs!!
chand sitare
phul banafshi patte
Tahni Tahni jugnu ban kar
uDne wali barf
lakDi ke shaffaf waraq par
mor ke par ki nok se likkhe
kale kale harf
ujli dhup mein
ret ke raushan zarre
aur pahaDi darre
abr-sawar suhani sham
aur sabz qaba mein ek pari ka jism
surKH labon ki shaKH se jhaDte
phulon jaise ism
rang-ba-rang tilism
jhil ki tah mein Dubte chand ka aks
Dhol ki wahshi tal pe hota
nim-barahna raqs!
kaise kaise manzar dekhe
ek karoD baras pahle ke
ghaar mein baiTha shaKHs!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.