ghaza
lahū aaj phir bah rahā hai
zamīñ to zamīñ āsmāñ surḳh hai
dayār-e-ashokā meñ phir raqs iblīs kā hai
chaman-zār-e-gautam meñ haiñ chāk-dar-chāk kaliyāñ
zabāñ 'mīr'-o-'ġhālib' kī ab kushtanī hai
nigār-e-vatan dar pe jamhūr ke sar-nigūñ hai
magar ai shahīdān-e-urdu
tumhārā lahū
charāġh-e-sar-e-rahguzar hai
matā-e-girāñ bahr-e-fikr-o-nazar hai
payām-e-tulū-e-sahar hai
tumhāre lahū se
lab-e-vaqt par aa gayā hai tabassum
anādil ne paayā hai zauq-e-tarannum
zabān-e-ḳhamoshī ne sīkhī hai tarz-e-takallum
yaqīñ hai
lahū ye tumhārā
ruḳh-e-'mīr'-o-'ġhālib' kā ġhāza banegā
jabīn-e-vatan par
ye chamkegā sindūr ban kar
lahu aaj phir bah raha hai
zamin to zamin aasman surKH hai
dayar-e-ashoka mein phir raqs iblis ka hai
chaman-zar-e-gautam mein hain chaak-dar-chaak kaliyan
zaban 'mir'-o-'ghaalib' ki ab kushtani hai
nigar-e-watan dar pe jamhur ke sar-nigun hai
magar ai shahidan-e-urdu
tumhaara lahu
charagh-e-sar-e-rahguzar hai
mata-e-giran bahr-e-fikr-o-nazar hai
payam-e-tulu-e-sahar hai
tumhaare lahu se
lab-e-waqt par aa gaya hai tabassum
anadil ne paya hai zauq-e-tarannum
zaban-e-KHamoshi ne sikhi hai tarz-e-takallum
yaqin hai
lahu ye tumhaara
ruKH-e-'mir'-o-'ghaalib' ka ghaza banega
jabin-e-watan par
ye chamkega sindur ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.