ghair-marai taqat
koī ġhair-mara.ī sī tāqat to hogī
jilau meñ jo le kar
har ik rūh-e-tifl-o-javāñ ko
ḳhamoshī se sū-e-falak kuuch kartī hai akasr
koī baap ma.asūm beTe ko thāme
davā de rahā hai, har ik saañs ke zer-o-bam par nazar hai
udhar us kī jaañ jism se jā rahī hai
magar kuchh nazar bhī na aa.e, samajh meñ na aa.e
abhī kheltā thaa, abhī dekhtā thā
abhī to, abhī, haañ abhī band āñkheñ huī haiñ
ye dekho laboñ par,
ajab ek ma.asūm sī muskurāhaT hai baaqī
magar koī jumbish nahīñ hai
ramaq zindagī kī na baaqī hai koī
koī ġhair-mara.ī sī tāqat to hogī,
jo āhistagī se chalī aatī hogī
ḳhamoshī se āġhosh meñ apnī,
ma.asūm rūhoñ ko le kar chalī jaatī hogī
yaqīnan koī ġhair-mara.ī sī tāqat hai varna
agar koī mara.ī sī tāqat jo hotī
to nādān insāñ bahut ġhul machātā
magar ye nizām-e-ilāhī badaltā nahīñ hai
koi ghair-marai si taqat to hogi
jilau mein jo le kar
har ek ruh-e-tifl-o-jawan ko
KHamoshi se su-e-falak kuch karti hai akasr
koi bap masum beTe ko thame
dawa de raha hai, har ek sans ke zer-o-bam par nazar hai
udhar us ki jaan jism se ja rahi hai
magar kuchh nazar bhi na aae, samajh mein na aae
abhi khelta tha, abhi dekhta tha
abhi to, abhi, han abhi band aankhen hui hain
ye dekho labon par,
ajab ek masum si muskurahaT hai baqi
magar koi jumbish nahin hai
ramaq zindagi ki na baqi hai koi
koi ghair-marai si taqat to hogi,
jo aahistagi se chali aati hogi
KHamoshi se aaghosh mein apni,
masum ruhon ko le kar chali jati hogi
yaqinan koi ghair-marai si taqat hai warna
agar koi marai si taqat jo hoti
to nadan insan bahut ghul machata
magar ye nizam-e-ilahi badalta nahin hai
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.