galiyara
tum Thiik hī kahtī thiiñ
tum ek ḳhvāb ho
juz ḳhvāb bhalā aur kyā ho
vo ḳhvāb jise
maiñ ne apnī khulī
aur band āñkhoñ se dekhā
vo ḳhvāb jise maiñ ne
aur tum ne mil kar sīñchā
jo merī aur tumhārī āñkhoñ meñ
barsoñ tak paltā rahā
us ḳhvāb kī
taqlīd karte hue
maiñ bahut duur aa gayā jānāñ
aur yahāñ se
ab is ḳhvāb ko
haqīqat se alag karnā
mumkin nahīñ hai
merī zindagī
ya.anī tum
ik galiyāre
kā guzar hai
jis ke ek chhor par hai
merā ḳhvāb
aur dūsre chhor
par amalī
haqīqat
tum Thik hi kahti thin
tum ek KHwab ho
juz KHwab bhala aur kya ho
wo KHwab jise
main ne apni khuli
aur band aankhon se dekha
wo KHwab jise main ne
aur tum ne mil kar sincha
jo meri aur tumhaari aankhon mein
barson tak palta raha
us KHwab ki
taqlid karte hue
main bahut dur aa gaya jaanan
aur yahan se
ab is KHwab ko
haqiqat se alag karna
mumkin nahin hai
meri zindagi
yani tum
ek galiyare
ka guzar hai
jis ke ek chhor par hai
mera KHwab
aur dusre chhor
par amali
haqiqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.