gham-ashna
mire ġham kī mahram
na jaane mire ġham meñ kyā dilkashī tum ne paa.ī
ki apnā liyā hai ise is tarah jaise ye ġham tumhārā hī ġham ho
mire ġham meñ kyā dilkashī hai
mujhe mujh se āgāh karne meñ kaisī jhijak ye pas-o-pesh kaisā
batāo vo kyā shai hai mujh meñ ki jis kī kashish ne
tumheñ apnī ḳhushiyāñ mire ġham meñ tahlīl karne pe rāġhib kiyā hai
ki jis ne tumheñ is qadar sochne kī bhī mohlat nahīñ dī
ki ye ġham jise tum ne be-saudā apnā liyā hai
tumhārā nahīñ hai
tumheñ merī bātoñ se dukh ho rahā hai
tumheñ merī bātoñ meñ begānagī sī nazar aa rahī hai
faqat is liye ki tumheñ shādmāñ dekhne kī mujhe aarzū hai
magar tum mire ġham meñ paiham ghulī jā rahī ho
mirī samt dekho
ye ashkoñ se labrez palkeñ uThāo
mujhe ab koī ġham nahīñ hai
mujhe ab koī ġham nahīñ hai
mere gham ki mahram
na jaane mere gham mein kya dilkashi tum ne pai
ki apna liya hai ise is tarah jaise ye gham tumhaara hi gham ho
mere gham mein kya dilkashi hai
mujhe mujh se aagah karne mein kaisi jhijak ye pas-o-pesh kaisa
batao wo kya shai hai mujh mein ki jis ki kashish ne
tumhein apni KHushiyan mere gham mein tahlil karne pe raghib kiya hai
ki jis ne tumhein is qadar sochne ki bhi mohlat nahin di
ki ye gham jise tum ne be-sauda apna liya hai
tumhaara nahin hai
tumhein meri baaton se dukh ho raha hai
tumhein meri baaton mein beganagi si nazar aa rahi hai
faqat is liye ki tumhein shadman dekhne ki mujhe aarzu hai
magar tum mere gham mein paiham ghuli ja rahi ho
meri samt dekho
ye ashkon se labrez palken uThao
mujhe ab koi gham nahin hai
mujhe ab koi gham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.