gham-e-dil
dil kī vahshat ko ik zamāna huā
ġham kī shiddat ko ik zamāna huā
koī ehsās tak nahīñ baaqī
hasrat-o-yās tak nahīñ baaqī
kyoñ tujhe yaad kar rahī huuñ maiñ
yaad terī rulā rahī hai aaj
dil meñ hūkeñ uThā rahī hai aaj
zindagī ho ga.ī hai phir vīrāñ
phir se āñkheñ huī haiñ ashk-fishāñ
haañ tujhe yaad kar rahī huuñ maiñ
chhūT kar tujh se mil sakā na sukūñ
ārzūeñ tamām ho ga.iiñ ḳhuuñ
ḳhaak meñ mil ga.e buland ḳhayāl
kyā se kyā ho gayā hai apnā haal
phir tujhe yaad kar rahī huuñ maiñ
dil bahaltā nahīñ kahīñ merā
dost tujh sā koī nahīñ merā
vādī-e-zindagī meñ hairāñ huuñ
sūrat-e-bū-e-gul pareshāñ huuñ
aa tujhe yaad kar rahī huuñ maiñ
tujh se milne kī ab umiid nahīñ
ḳhvāb meñ bhī majāl-e-dīd nahīñ
hijr kī talḳhiyoñ ko sahnā hai
'umr-bhar qaid-e-ġham meñ rahnā hai
kyoñ tujhe yaad kar rahī huuñ maiñ
dil ki wahshat ko ek zamana hua
gham ki shiddat ko ek zamana hua
koi ehsas tak nahin baqi
hasrat-o-yas tak nahin baqi
kyon tujhe yaad kar rahi hun main
yaad teri rula rahi hai aaj
dil mein huken uTha rahi hai aaj
zindagi ho gai hai phir viran
phir se aankhen hui hain ashk-fishan
han tujhe yaad kar rahi hun main
chhuT kar tujh se mil saka na sukun
aarzuen tamam ho gain KHun
KHak mein mil gae buland KHayal
kya se kya ho gaya hai apna haal
phir tujhe yaad kar rahi hun main
dil bahalta nahin kahin mera
dost tujh sa koi nahin mera
wadi-e-zindagi mein hairan hun
surat-e-bu-e-gul pareshan hun
aa tujhe yaad kar rahi hun main
tujh se milne ki ab umid nahin
KHwab mein bhi majal-e-did nahin
hijr ki talKHiyon ko sahna hai
'umr-bhar qaid-e-gham mein rahna hai
kyon tujhe yaad kar rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.