gham-e-firaq
ubhar rahā hai tasavvur meñ phir vahī manzar
ki ek gosha-e-gulshan meñ tum ko dekhā thā
na jaane kis ke ḳhayāloñ meñ tum thiiñ khoī huī
hasīn kaliyoñ ke dāman meñ tum ko dekhā thā
hai yaad aaj bhī vo shaam vo hasīñ lamha
ki jab ḳhamosh nigāhoñ ne guftugū kī thī
lab-e-hasīñ ke tabassum meñ Duub kar maiñ ne
tumhāre sāmne ḳhud apnī justujū kī thī
tumhārī aañkh meñ ulfat kī raushnī pā kar
mirī nazar ne sitāroñ se dostī kar lī
maiñ tum ko pā ke zamāne ko bhuul baiThā thā
magar tumhīñ ne mohabbat meñ be-ruḳhī kar lī
tumhāre pyaar ke va.adoñ ne saath chhoḌ diyā
ġham-e-firāq meñ ab muskurā nahīñ saktā
tumhārī zulf ke saa.e kā aasrā kho kar
maiñ sāz-e-dil pe koī giit gā nahīñ saktā
mirī vafā mirī vahshat kā hai mujhe ehsās
tum apne dil kī taḌap aazmā nahīñ saktīñ
tumhārā saath kisī aur ko nasīb huā
tum ab nigāh bhī mujh se milā nahīñ saktīñ
ye maanā aks meñ manzar ko Dhaal saktī ho
magar ḳhulūs kī rañgat kahāñ se lāogī
agar ye rañg mile bhī to us se kyā hāsil
tum is meñ soz-e-mohabbat kahāñ se lāogī
tumhāre haath kī tasvīr ḳhūbsūrat hai
ye kuchh bhī ho magar is meñ vo rañg-o-āb kahāñ
bahut hasīn haiñ lekin tumhāre ḳhākoñ meñ
mirī ġhazal mirī nazmoñ kā iztirāb kahāñ
ubhar raha hai tasawwur mein phir wahi manzar
ki ek gosha-e-gulshan mein tum ko dekha tha
na jaane kis ke KHayalon mein tum thin khoi hui
hasin kaliyon ke daman mein tum ko dekha tha
hai yaad aaj bhi wo sham wo hasin lamha
ki jab KHamosh nigahon ne guftugu ki thi
lab-e-hasin ke tabassum mein Dub kar main ne
tumhaare samne KHud apni justuju ki thi
tumhaari aankh mein ulfat ki raushni pa kar
meri nazar ne sitaron se dosti kar li
main tum ko pa ke zamane ko bhul baiTha tha
magar tumhin ne mohabbat mein be-ruKHi kar li
tumhaare pyar ke wadon ne sath chhoD diya
gham-e-firaq mein ab muskura nahin sakta
tumhaari zulf ke sae ka aasra kho kar
main saz-e-dil pe koi git ga nahin sakta
meri wafa meri wahshat ka hai mujhe ehsas
tum apne dil ki taDap aazma nahin saktin
tumhaara sath kisi aur ko nasib hua
tum ab nigah bhi mujh se mila nahin saktin
ye mana aks mein manzar ko Dhaal sakti ho
magar KHulus ki rangat kahan se laogi
agar ye rang mile bhi to us se kya hasil
tum is mein soz-e-mohabbat kahan se laogi
tumhaare hath ki taswir KHubsurat hai
ye kuchh bhi ho magar is mein wo rang-o-ab kahan
bahut hasin hain lekin tumhaare KHakon mein
meri ghazal meri nazmon ka iztirab kahan
- Book : Dard aashna (Pg. 22)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.