gham-e-jamhur
Interesting Fact
Being influenced by Faiz's couplets and letters exchanged with Sajjad Zaheer during his time in the Pakistan Jail.
jhukegā ḳhaak pe ye qasr-e-āsmāñ ik din
hamāre zer-e-qadam hogī kahkashāñ ik din
baḌhegā jānib-e-manzil ye kārvāñ ik din
fazā-e-arz-o-samā hogī ham-ināñ ik din
hayāt-e-ḳhizr milegī har ek zarre ko
hamārā naqsh-e-qadam hogā jāvedāñ ik din
abhī jo ḳhirman-e-ahl-e-vafā pe girtī haiñ
charāġh-e-rāh baneñgī vo bijliyāñ ik din
ba-īñ yaqīn o ba-īñ etiqād-e-husn-e-yaqīñ
abhī to aa.egā vo ahd-e-ḳhūñ-chakāñ ik din
vo ahd jis meñ azā.em ke soz-o-sāz ke saath
uThegā sīna-e-mazdūr se dhuāñ ik din
hamāre zauq-e-tajassus kī tishna-kāmī kā
zamāna legā sar-e-dār imtihāñ ik din
mileñge bhes meñ rahzan ke rahbarān-e-vatan
fareb deñge hamāre hī pāsbāñ ik din
ye zar-parast ki haiñ inqilāb ke dushman
miTā ke ham ko bahut hoñge shādmāñ ik din
chaman pe firqa-parastī kī aag barsā kar
ye phūñk deñge har ik shāḳh-e-āshiyāñ ik din
unhīñ kā tiir hai vo 'godse' ho yā 'akbar'
har ek bazm pe lachkegī ye kamāñ ik din
banā.eñge yahī jamhūriyat ke parde meñ
hamāre mulk pe ġhairoñ ko hukmrāñ ik din
manāeñge ye ġharīboñ ke ḳhuun se holī
ujaaḌ deñge kisānoñ kī bastiyāñ ik din
ye jānashīn haiñ rāvan ke in kī sāzish se
uTheñgī raam kī azmat pe uñgliyāñ ik din
jilau meñ in ke vo sailāb-e-kisht-o-ḳhūñ hogā
laraz uTheñgī himāla kī choTiyāñ ik din
butān-e-dair nadāmat se sar-nigūñ hoñge
uThegī sīna-e-nāqūs se fuġhāñ ik din
jhukega KHak pe ye qasr-e-asman ek din
hamare zer-e-qadam hogi kahkashan ek din
baDhega jaanib-e-manzil ye karwan ek din
faza-e-arz-o-sama hogi ham-inan ek din
hayat-e-KHizr milegi har ek zarre ko
hamara naqsh-e-qadam hoga jawedan ek din
abhi jo KHirman-e-ahl-e-wafa pe girti hain
charagh-e-rah banengi wo bijliyan ek din
ba-in yaqin o ba-in etiqad-e-husn-e-yaqin
abhi to aaega wo ahd-e-KHun-chakan ek din
wo ahd jis mein azaem ke soz-o-saz ke sath
uThega sina-e-mazdur se dhuan ek din
hamare zauq-e-tajassus ki tishna-kaami ka
zamana lega sar-e-dar imtihan ek din
milenge bhes mein rahzan ke rahbaran-e-watan
fareb denge hamare hi pasban ek din
ye zar-parast ki hain inqilab ke dushman
miTa ke hum ko bahut honge shadman ek din
chaman pe firqa-parasti ki aag barsa kar
ye phunk denge har ek shaKH-e-ashiyan ek din
unhin ka tir hai wo 'godse' ho ya 'akbar'
har ek bazm pe lachkegi ye kaman ek din
banaenge yahi jamhuriyat ke parde mein
hamare mulk pe ghairon ko hukmran ek din
manaenge ye gharibon ke KHun se holi
ujaD denge kisanon ki bastiyan ek din
ye jaanashin hain rawan ke in ki sazish se
uThengi ram ki azmat pe ungliyan ek din
jilau mein in ke wo sailab-e-kisht-o-KHun hoga
laraz uThengi himala ki choTiyan ek din
butan-e-dair nadamat se sar-nigun honge
uThegi sina-e-naqus se fughan ek din
- Book : Karwan-e-azadi (Pg. 99)
- Author : Masood Akhtar Jamal
- Publication : Basmah Khatoon (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.