ghamon ki aag mein jalna paDega umr bhar hum ko
bahut kuchh soch kar nikle the ghar se ham
ki hijrat kar rahe haiñ ik mohazzab mulk kī jānib
ki shohra hai usī kā saare aalam meñ
ki achchhā hai usī ḳhush-hāl ḳhitta meñ
ziyāda se ziyāda hoñgī apnī ḳhvāhisheñ puurī
hamāre bachche bhī ik achchhe se māhaul meñ rah kar
mohazzab hī baneñge
aur mustaqbil bhī ho jā.egā
un kā har tarah raushan
to phir ā.īna-e-tahzīb meñ
har aks hī uryāñ nazar aaya
aur āñkheñ bhī zamīñ se lag ga.iiñ
aisā huā phir
roz ghar meñ zid se
v c r T v meñ
hamāre bachchoñ ne dekhā
vahī uryāñ tamāsha
kyūñki ḳhabroñ se unheñ koī bhī dilchaspī nahīñ
ab sirf filmeñ dekhnā hī un kī aadat hai
ham un ko man.a karte the magar vo mānte kaise
ki jis māhaul meñ vo rahte haiñ us meñ
aur jo bachche haiñ vo āzād haiñ
māñ-bāp un ko DaañT bhī sakte nahīñ
is mulk kā qānūn us kī pusht par hai
jo baġhāvat par unheñ āmāda kartā hai
lihāzā ham dabāo un pe kaise Daal sakte haiñ
to ham ye sochte haiñ
ab yahāñ rahnā munāsib hī nahīñ hogā
magar bachche kahāñ ye chāhte haiñ
lauT kar jaa.eñ vatan
ya.anī hamārī vāpsī mumkin nahīñ
is fikr meñ ham aur bhī haiñ mubtalā-e-ġham
hamāre ḳhvāb kī duniyā ujaḌ kar rah ga.ī hai
kis ne ye sochā thā
ho jā.egā kyā se kyā
hameñ to ab yahī mahsūs hotā hai
ġhamoñ kī aag meñ jalnā paḌegā
umr bhar ham ko
bahut kuchh soch kar nikle the ghar se hum
ki hijrat kar rahe hain ek mohazzab mulk ki jaanib
ki shohra hai usi ka sare aalam mein
ki achchha hai usi KHush-haal KHitta mein
ziyaada se ziyaada hongi apni KHwahishen puri
hamare bachche bhi ek achchhe se mahaul mein rah kar
mohazzab hi banenge
aur mustaqbil bhi ho jaega
un ka har tarah raushan
to phir aaina-e-tahzib mein
har aks hi uryan nazar aaya
aur aankhen bhi zamin se lag gain
aisa hua phir
roz ghar mein zid se
w c r T w mein
hamare bachchon ne dekha
wahi uryan tamasha
kyunki KHabron se unhen koi bhi dilchaspi nahin
ab sirf filmen dekhna hi un ki aadat hai
hum un ko mana karte the magar wo mante kaise
ki jis mahaul mein wo rahte hain us mein
aur jo bachche hain wo aazad hain
man-bap un ko DanT bhi sakte nahin
is mulk ka qanun us ki pusht par hai
jo baghawat par unhen aamada karta hai
lihaza hum dabao un pe kaise Dal sakte hain
to hum ye sochte hain
ab yahan rahna munasib hi nahin hoga
magar bachche kahan ye chahte hain
lauT kar jaen watan
yani hamari wapsi mumkin nahin
is fikr mein hum aur bhi hain mubtala-e-gham
hamare KHwab ki duniya ujaD kar rah gai hai
kis ne ye socha tha
ho jaega kya se kya
hamein to ab yahi mahsus hota hai
ghamon ki aag mein jalna paDega
umr bhar hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.