ganga ke kinare
baiThī thī abhī laila-e-shab zulf banā.e
thā mehr-e-munavvar abhī chehre ko chhupā.e
dhuñdlī nazar aatī thī har ik chiiz jahāñ kī
dilchasp na.e husn ke manzar nazar aa.e
aise meñ chalī jaatī thī ik husn kī devī
gangā kī taraf ghaaT pe nazroñ ko jamā.e
qadmoñ se nikaltī rahī yuuñ reg kī silvaT
jaise koī taqdīr ke likkhe ko miTā.e
pahuñchī jo kināre pe ajab naaz se baiThī
bāloñ kī girah khol dī aur chhīñTe uḌaa.e
vo zulf-e-rasā reg ke zarroñ pe paḌī thī
ghanghor ghaTā.eñ thiiñ sitāroñ ko chhupā.e
paanī meñ the is tarah se vo pā-e-hinā.ī
jaise koī bhaḌke hue sho.aloñ ko bujhā.e
bikhrī huī zulfoñ se sabā khel rahī thī
baiThī thī kināre pe vo gardan ko jhukā.e
paanī meñ havā aa paḌī zulfoñ meñ ulajh kar
dariyā ke is andāz se māthe pe bal aa.e
maujeñ abhī baḌh baḌh ke qadam chuum rahī thiiñ
aahaT jo huī chauñk ga.ī baal haTā.e
muḌ kar jo nazar kī to ik insān ko dekhā
thā dāman-e-sad-chāk meñ chehre ko chhupā.e
kahne lagī tū kaun hai kyā naam hai terā
kyoñ phirtā hai haal apnā faqīrāna banā.e
tab ishq pe bolā tirī is bhuul ke sadqe
lākhoñ tirī is bhuul ne dīvāne banā.e
baiThi thi abhi laila-e-shab zulf banae
tha mehr-e-munawwar abhi chehre ko chhupae
dhundli nazar aati thi har ek chiz jahan ki
dilchasp nae husn ke manzar nazar aae
aise mein chali jati thi ek husn ki dewi
ganga ki taraf ghaT pe nazron ko jamae
qadmon se nikalti rahi yun reg ki silwaT
jaise koi taqdir ke likkhe ko miTae
pahunchi jo kinare pe ajab naz se baiThi
baalon ki girah khol di aur chhinTe uDae
wo zulf-e-rasa reg ke zarron pe paDi thi
ghanghor ghaTaen thin sitaron ko chhupae
pani mein the is tarah se wo pa-e-hinai
jaise koi bhaDke hue shoalon ko bujhae
bikhri hui zulfon se saba khel rahi thi
baiThi thi kinare pe wo gardan ko jhukae
pani mein hawa aa paDi zulfon mein ulajh kar
dariya ke is andaz se mathe pe bal aae
maujen abhi baDh baDh ke qadam chum rahi thin
aahaT jo hui chaunk gai baal haTae
muD kar jo nazar ki to ek insan ko dekha
tha daman-e-sad-chaak mein chehre ko chhupae
kahne lagi tu kaun hai kya nam hai tera
kyon phirta hai haal apna faqirana banae
tab ishq pe bola teri is bhul ke sadqe
lakhon teri is bhul ne diwane banae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.