gharib ki duniya
zamīñ se āsmāñ tak sardiyoñ kā faiz jaarī hai
ki in ḳhāmosh rātoñ meñ musalsal barf-bārī hai
chhupe baiThe haiñ sardī se parinde āshiyānoñ meñ
jidhar dekho chhupe baiThe haiñ sab apne makānoñ meñ
havā.eñ sard chaltī haiñ fazā-e-āsmānī se
luTe haiñ nuqra.ī kohre falak kī rājdhānī se
magar is barf-bārī se hai kyā ġham māldāroñ ko
ki Dar tūfāñ se kuchh hotā nahīñ hai ābshāroñ ko
musībat kī ghaḌī kā kyā asar ho zar-parastoñ par
ki hotī hai zamīñ bhī tang aksar tang-dastoñ par
guzar-auqāt karte haiñ kabhī dīvār ke nīche
kabhī ashjār ke nīche kabhī kohsār ke nīche
ye duniyā hai amīroñ kī ġharīboñ kī nahīñ duniyā
kahīñ par kaash hotī nā-tavānoñ kī bhī ik duniyā
jahāñ par peT bharne ke liye nān-e-javīñ miltī
zarā ārām karne ke liye thoḌī zamīñ miltī
jahāñ in be-navāoñ kā bhī hamdard āsmāñ hotā
jahāñ taskīn-e-dil hotī jahāñ ārām-e-jāñ hotā
zamin se aasman tak sardiyon ka faiz jari hai
ki in KHamosh raaton mein musalsal barf-bari hai
chhupe baiThe hain sardi se parinde aashiyanon mein
jidhar dekho chhupe baiThe hain sab apne makanon mein
hawaen sard chalti hain faza-e-asmani se
luTe hain nuqrai kohre falak ki rajdhani se
magar is barf-bari se hai kya gham maldaron ko
ki Dar tufan se kuchh hota nahin hai aabshaaron ko
musibat ki ghaDi ka kya asar ho zar-paraston par
ki hoti hai zamin bhi tang aksar tang-daston par
guzar-auqat karte hain kabhi diwar ke niche
kabhi ashjar ke niche kabhi kohsar ke niche
ye duniya hai amiron ki gharibon ki nahin duniya
kahin par kash hoti na-tawanon ki bhi ek duniya
jahan par peT bharne ke liye nan-e-jawin milti
zara aaram karne ke liye thoDi zamin milti
jahan in be-nawaon ka bhi hamdard aasman hota
jahan taskin-e-dil hoti jahan aaram-e-jaan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.