gharibon ki sada
ġharīboñ kī fāqa-kashoñ kī sadā hai
mare jā rahe haiñ
amīroñ ke aishoñ kā ambār sar par
lade haiñ zamāne ke afkār sar par
zamīñdār kāñdhe pe sarkār sar par
mare jā rahe haiñ
sharāboñ ke rasiyā amīroñ kā kyā hai
hañse jā rahe haiñ
ġharīboñ kī mehnat kī daulat churā kar
ġharīboñ kī rāhat kī duniyā miTā kar
mahal apne ġhārat-garī se sajā kar
hañse jā rahe haiñ
ġharīboñ ne sambañdh mil kar kiyā hai
ḳhushī baḌh ga.ī hai ki ġham baḌh rahe haiñ
nigāhoñ se aage qadam baḌh rahe haiñ
sambhalnā amīro ki ham baḌh rahe haiñ
baḌhe jā rahe haiñ
gharibon ki faqa-kashon ki sada hai
mare ja rahe hain
amiron ke aishon ka ambar sar par
lade hain zamane ke afkar sar par
zamindar kandhe pe sarkar sar par
mare ja rahe hain
sharabon ke rasiya amiron ka kya hai
hanse ja rahe hain
gharibon ki mehnat ki daulat chura kar
gharibon ki rahat ki duniya miTa kar
mahal apne ghaarat-gari se saja kar
hanse ja rahe hain
gharibon ne sambandh mil kar kiya hai
KHushi baDh gai hai ki gham baDh rahe hain
nigahon se aage qadam baDh rahe hain
sambhalna amiro ki hum baDh rahe hain
baDhe ja rahe hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 44)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.