gaThri
apnā yaar banā.ūñ kis ko
kis ke sar par rakhūñ apne dukhoñ kī
bhārī gaThrī
saare log to andhe gūñge aur bahre haiñ
koī na dekhe koī na bole
koī kisī kī baat nahīñ suntā
apne apne dukhoñ meñ ghuTnoñ ghuTnoñ gaḌe hue haiñ
apnī apnī hasrateñ le kar jaane kab se baiThe
kaun kisī kā bhartā hai piyāla
bojh kisī kā kaun uThā.e
apnā piyāla apne hāthoñ se bharnā hai
apnī gaThrī aap uThā kar chalnā hai
apna yar banaun kis ko
kis ke sar par rakhun apne dukhon ki
bhaari gaThri
sare log to andhe gunge aur bahre hain
koi na dekhe koi na bole
koi kisi ki baat nahin sunta
apne apne dukhon mein ghuTnon ghuTnon gaDe hue hain
apni apni hasraten le kar jaane kab se baiThe
kaun kisi ka bharta hai piyala
bojh kisi ka kaun uThae
apna piyala apne hathon se bharna hai
apni gaThri aap uTha kar chalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.