ghaul-e-bayabani
'ajīb raat thī
tamām shahr aañkh muuñd kar paḌā rahā
ye shahr so rahā thā kyoñ
ye ḳhāmushī kī guuñj kyā huī
sukūt kyoñ ye maut kā
vo jāgte raho kī bāzgasht kis nagar ga.ī
sitāra-e-sahar ke saath Dūbne kī aarzū bhī mar ga.ī
musāfirān-e-shab tumhārī aabrū kidhar ga.ī
jo chāñd āsmāñ pe thā to kaise tīrgī tamām shahr meñ utar ga.ī
añdherī shab meñ rāstoñ pe mash'aleñ uThā ke chalne vaale ahl-e-dil kī riit kis ke ghar ga.ī
kise ḳhabar
mujhe kisī se kyā ġharaz
mujhe to bas yahī ḳhabar milī ki raat bhar
mirā 'azīz dost merī jāgtī nazar kā ḳhvāb
merā dil mirā qalam vo mere mez kī kitāb
is sukūt-e-shab meñ mere ham-nashīñ rahe
ai mere shahr raat kaT chukī hai gar
to tere log jaag kyoñ nahīñ rahe
dil-e-figār ko shikast-e-shīsha-e-nigār-e-ḳhvāb kī ḳhabar milī
magar ye kyā ġhazab huā
maiñ aaj ro nahīñ sakā
'ajīb ek raat thī tamām shahr so rahā magar maiñ so nahīñ sakā
'ajib raat thi
tamam shahr aankh mund kar paDa raha
ye shahr so raha tha kyon
ye KHamushi ki gunj kya hui
sukut kyon ye maut ka
wo jagte raho ki bazgasht kis nagar gai
sitara-e-sahar ke sath Dubne ki aarzu bhi mar gai
musafiran-e-shab tumhaari aabru kidhar gai
jo chand aasman pe tha to kaise tirgi tamam shahr mein utar gai
andheri shab mein raston pe mash'alen uTha ke chalne wale ahl-e-dil ki rit kis ke ghar gai
kise KHabar
mujhe kisi se kya gharaz
mujhe to bas yahi KHabar mili ki raat bhar
mera 'aziz dost meri jagti nazar ka KHwab
mera dil mera qalam wo mere mez ki kitab
is sukut-e-shab mein mere ham-nashin rahe
ai mere shahr raat kaT chuki hai gar
to tere log jag kyon nahin rahe
dil-e-figar ko shikast-e-shisha-e-nigar-e-KHwab ki KHabar mili
magar ye kya ghazab hua
main aaj ro nahin saka
'ajib ek raat thi tamam shahr so raha magar main so nahin saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.