gaurayya tum aa bhi jao
gaurayyā tum aa bhī jaao
aakar sab kā dil bahlāo
tum bin ghar hai suunā suunā
vīrāñ is kā konā konā
jab tum ghar meñ aatī thiiñ
kitnī ḳhushiyāñ laatī thiiñ
chiiñ chiiñ kartīñ shor machātīñ
phir bhī sab ke man ko bhātīñ
tinkā tinkā tum thiiñ lātīñ
ghar apnā phir un se banātīñ
phir us meñ tum detīñ anDe
jin se bāhar aate bachche
hote the ye nanhe munne
dekh ke jin ko ham ḳhush hote
yādeñ kitnī haiñ ye suhānī
lekin ab to huiiñ purānī
jab se tum ne aanā chhoḌā
dil goyā sab kā hī toḌā
bolo bolo kahāñ ga.ī ho
kaun des meñ jā ke chhupī ho
kaise tum ko vāpas laa.eñ
tum se apnā dil bahlā.eñ
'ākif' tum ko yaad hai kartā
yādoñ se dil shaad hai kartā
gaurayyā tum aa bhī jaao
ghar meñ ḳhushiyāñ vāpas laao
gaurayya tum aa bhi jao
aakar sab ka dil bahlao
tum bin ghar hai suna suna
viran is ka kona kona
jab tum ghar mein aati thin
kitni KHushiyan lati thin
chin chin kartin shor machatin
phir bhi sab ke man ko bhatin
tinka tinka tum thin latin
ghar apna phir un se banatin
phir us mein tum detin anDe
jin se bahar aate bachche
hote the ye nanhe munne
dekh ke jin ko hum KHush hote
yaaden kitni hain ye suhani
lekin ab to huin purani
jab se tum ne aana chhoDa
dil goya sab ka hi toDa
bolo bolo kahan gai ho
kaun des mein ja ke chhupi ho
kaise tum ko wapas laen
tum se apna dil bahlaen
'akif' tum ko yaad hai karta
yaadon se dil shad hai karta
gaurayya tum aa bhi jao
ghar mein KHushiyan wapas lao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.