gawahi de raha hun main
gavāhī de rahā huuñ,
ab se kuchh pahle junūbī shahr ke us paar maiñ dekhā gayā thā
ab jahāñ par ḳhushk peḌoñ ke ghane jañgal haiñ, suune tañg raste
jhāḌiyāñ haiñ
aur lambe zard, jālī-dār pattoñ meñ havā.eñ sarsarātī haiñ
gavāhī de rahā huuñ, ab se kuchh pahle,
jo apne hī lahū meñ Dūbtā dekhā gayā thaa, vo koī mafrūr qaidī thā
jise maiñ jāntā huuñ, ab se kuchh pahle, jo mere zehn ke tapte hue
sahrā meñ bhāgā phir rahā thā
jis kī ḳhvāhish thii:
kahīñ ThanDī ghanerī ghaas par, apnā libās-e-ḳhāk-o-ḳhūñ rakh kar
gul-e-manzar meñ kho jaa.e
gavāhī de rahā huuñ: ab se kuchh pahle,
vo nannhī, shoḳh laḌkī thī
gilahrī sī phudaktī phir rahī thī aam ke sarsabz sāyoñ meñ
use ma.alūm thā shāyad
ki us kī chhātiyoñ meñ maiñ dhaḌaktā huuñ
maiñ dhaḌkan ban gayā thā
us ke siine meñ machaltā thā
vo merā jism thī
shāyad use ma.alūm thaa:
maiñ har gul-e-manzar meñ huuñ aur raat din us kā ta.āqub kar rahā huuñ
ab se kuchh pahle
junūbī shahr ke us paar jo dekhā gayā thā maiñ nahīñ thā
khoj meñ merī vo nannhī shoḳh laḌkī thī
gavāhī de rahā huuñ
ab se kuchh pahle
gawahi de raha hun,
ab se kuchh pahle junubi shahr ke us par main dekha gaya tha
ab jahan par KHushk peDon ke ghane jangal hain, sune tang raste
jhaDiyan hain
aur lambe zard, jali-dar patton mein hawaen sarsaraati hain
gawahi de raha hun, ab se kuchh pahle,
jo apne hi lahu mein Dubta dekha gaya tha, wo koi mafrur qaidi tha
jise main jaanta hun, ab se kuchh pahle, jo mere zehn ke tapte hue
sahra mein bhaga phir raha tha
jis ki KHwahish thi:
kahin ThanDi ghaneri ghas par, apna libas-e-KHak-o-KHun rakh kar
gul-e-manzar mein kho jae
gawahi de raha hun: ab se kuchh pahle,
wo nannhi, shoKH laDki thi
gilahri si phudakti phir rahi thi aam ke sarsabz sayon mein
use malum tha shayad
ki us ki chhatiyon mein main dhaDakta hun
main dhaDkan ban gaya tha
us ke sine mein machalta tha
wo mera jism thi
shayad use malum tha:
main har gul-e-manzar mein hun aur raat din us ka taaqub kar raha hun
ab se kuchh pahle
junubi shahr ke us par jo dekha gaya tha main nahin tha
khoj mein meri wo nannhi shoKH laDki thi
gawahi de raha hun
ab se kuchh pahle
- Book : intekhaabe kumaar paashii (Pg. 28)
- Author : Chandrabhan Khyal
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.