ghanTiyon par hai waqt ka matam
phir se hai shahr ek
sūraj ek
sub.h be-sāḳhta udaas aur kam
ghanTiyoñ par hai vaqt kā mātam
ye vo jagah hai
jo kahīñ bhī nahīñ
aur har jagah kī kahānī hai
vaqt insāñ pe toḌtā hai sitam
ghanTiyoñ par hai vaqt kā mātam
sub.h be-sāḳhta udaas aur kam
tum añdheroñ se jab nikal aao
merī āñkhoñ ke ās-pās raho
raaz ke kholne kā vaqt hai ye
be-jhijak bolne kā vaqt hai ye
tez sab kuchh guzarte dekhoge
tum bhī sūraj ko marte dekhoge
vaqt insāñ pe toḌtā hai sitam
ghanTiyoñ par hai vaqt kā mātam
jis ḳhalā meñ zamīñ kā Derā hai
us meñ chāroñ taraf añdherā hai
āñkheñ jo dekh leñ vo terā hai
yahī har baar kī kahānī hai
aañkh kuchh bhī nahīñ hai paanī hai
ghanTiyoñ par hai vaqt kā mātam
phir se hai shahr ek
suraj ek
subh be-saKHta udas aur kam
ghanTiyon par hai waqt ka matam
ye wo jagah hai
jo kahin bhi nahin
aur har jagah ki kahani hai
waqt insan pe toDta hai sitam
ghanTiyon par hai waqt ka matam
subh be-saKHta udas aur kam
tum andheron se jab nikal aao
meri aankhon ke aas-pas raho
raaz ke kholne ka waqt hai ye
be-jhijak bolne ka waqt hai ye
tez sab kuchh guzarte dekhoge
tum bhi suraj ko marte dekhoge
waqt insan pe toDta hai sitam
ghanTiyon par hai waqt ka matam
jis KHala mein zamin ka Dera hai
us mein chaaron taraf andhera hai
aankhen jo dekh len wo tera hai
yahi har bar ki kahani hai
aankh kuchh bhi nahin hai pani hai
ghanTiyon par hai waqt ka matam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.