ghar se niklun to duniya khaDi hai parakhne ko
jin machhliyoñ ne
zindagī ke saare din
samundar meñ guzāre hoñ
unheñ paanī ke lams kī
ḳhabar kaise ho
jin parindoñ ne
zindagī ke saare din
pinjre kī qaid meñ guzāre hoñ
unheñ asīrī ke azaab kī
ḳhabar kaise ho
jin hāthoñ ne
zindagī ke saare din
bekārī meñ guzāre hoñ
unheñ fursat ke ehsās kī
ḳhabar kaise ho
jin āñkhoñ ne
zindagī ke saare din
ġhaflat kī tārīkī meñ guzāre hoñ
unheñ gunāhoñ ke añdhere kī
ḳhabar kaise ho
jin sāñsoñ ne
zindagī ke saare din
ibādat-ḳhāne meñ guzāre hoñ
unheñ ma.abūd ke imtihān kī
ḳhabar kaise ho
jin machhliyon ne
zindagi ke sare din
samundar mein guzare hon
unhen pani ke lams ki
KHabar kaise ho
jin parindon ne
zindagi ke sare din
pinjre ki qaid mein guzare hon
unhen asiri ke azab ki
KHabar kaise ho
jin hathon ne
zindagi ke sare din
bekari mein guzare hon
unhen fursat ke ehsas ki
KHabar kaise ho
jin aankhon ne
zindagi ke sare din
ghaflat ki tariki mein guzare hon
unhen gunahon ke andhere ki
KHabar kaise ho
jin sanson ne
zindagi ke sare din
ibaadat-KHane mein guzare hon
unhen mabud ke imtihan ki
KHabar kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.