ghungru khol zara
pūran-māshī raat sajī jab
saath zamīñ bhī Dol paḌī
ik mūrat āḳhir bol paḌī
ik baar nahīñ sau baar nahīñ
kyoñ chāhat kā iqrār karūñ
kyoñ raqs ko apne aam karūñ
jis kaam kā hāsil koī na ho
kyoñ aisā koī kaam karūñ
kyoñ aisā koī kaam karūñ
hai koī jo mujh meñ kahtā hai
jo dil meñ hai ab bol zarā
kuchh der ko ghuñgrū khol zarā
ye raqs jo tū kartī hai yahāñ
is raqs meñ tere vahshat hai
jis shaḳhs kī chāhat ulfat hai
vo shaḳhs zamīñ kā baasī hai
vo aam ravayyoñ vaalā hai
vo terī vafā kyā samjhegā
va.adoñ ko nibhānā kyā jaane
vo ishq divāna kyā jaane
vo shaḳhs jo duniyā-dār bhī hai
zardār hai yuuñ nādār bhī hai
āzād bhī hai
ab us kī chāhat chhoḌ ke tū
ḳhalvat meñ ḳhud se bol kabhī
aur ḳhud meñ ḳhud ko ghol kabhī
ye ishq kitābī ishq hai jo
lamhoñ kī lazzat detā hai
phir us kī qīmat letā hai
is ishq-o-mohabbat meñ paḌ kar
tū ḳhud ko yuuñ nāshād na kar
barbād na kar
hai koī jo mujh meñ kahtā hai
aa tujh ko tujh se milvā.ūñ
tū kyā hai tujh ko batlā.ūñ
tū jannat hai tū rahmat hai
tū quvvat hai tū rāhat hai
tū sarvat hai tū barakat hai
aur sab se baḌh kar aurat hai
in lafzoñ ko bhī tol zarā
ḳhalvat meñ ḳhud se bol zarā
kuchh der ko
ghuñgrū khol zarā
puran-mashi raat saji jab
sath zamin bhi Dol paDi
ek murat aaKHir bol paDi
ek bar nahin sau bar nahin
kyon chahat ka iqrar karun
kyon raqs ko apne aam karun
jis kaam ka hasil koi na ho
kyon aisa koi kaam karun
kyon aisa koi kaam karun
hai koi jo mujh mein kahta hai
jo dil mein hai ab bol zara
kuchh der ko ghungru khol zara
ye raqs jo tu karti hai yahan
is raqs mein tere wahshat hai
jis shaKHs ki chahat ulfat hai
wo shaKHs zamin ka basi hai
wo aam rawayyon wala hai
wo teri wafa kya samjhega
wadon ko nibhana kya jaane
wo ishq diwana kya jaane
wo shaKHs jo duniya-dar bhi hai
zardar hai yun nadar bhi hai
aazad bhi hai
ab us ki chahat chhoD ke tu
KHalwat mein KHud se bol kabhi
aur KHud mein KHud ko ghol kabhi
ye ishq kitabi ishq hai jo
lamhon ki lazzat deta hai
phir us ki qimat leta hai
is ishq-o-mohabbat mein paD kar
tu KHud ko yun nashad na kar
barbaad na kar
hai koi jo mujh mein kahta hai
aa tujh ko tujh se milwaun
tu kya hai tujh ko batlaun
tu jannat hai tu rahmat hai
tu quwwat hai tu rahat hai
tu sarwat hai tu barakat hai
aur sab se baDh kar aurat hai
in lafzon ko bhi tol zara
KHalwat mein KHud se bol zara
kuchh der ko
ghungru khol zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.