gili-sili
maiñ ne
apne mutāle kī Table se
apnī saarī nazmeñ uThā kar
kapḌoñ kī almārī meñ rakh diiñ
taaki
na maiñ nazmoñ ko dekhūñ
na vo mujhe āñkheñ dikhā.eñ
magar jab bhī
maiñ almārī kā paT kholtī
darzoñ se jhāñktī nazmeñ
rotī chīḳhtī aur maiñ
jaldī se almārī band kar detī
aaj bahut dinoñ baad
maiñ ne
jab almārī kholī to
ghup ḳhāmoshī mujhe Takkar Takkar dekhne lagī
maiñ ne Dare sahme
jūñhī locker kholā to
gīlī-sīlī nazmeñ
merī DabDabātī āñkhoñ meñ
aan baiThī haiñ
hamesha hamesha ke liye
main ne
apne mutale ki Table se
apni sari nazmen uTha kar
kapDon ki almari mein rakh din
taki
na main nazmon ko dekhun
na wo mujhe aankhen dikhaen
magar jab bhi
main almari ka paT kholti
darzon se jhankti nazmen
roti chiKHti aur main
jaldi se almari band kar deti
aaj bahut dinon baad
main ne
jab almari kholi to
ghup KHamoshi mujhe Takkar Takkar dekhne lagi
main ne Dare sahme
junhi locker khola to
gili-sili nazmen
meri DabDabaati aankhon mein
aan baiThi hain
hamesha hamesha ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.