git sunao
koī giit sunāo baajī
sab kā jī bahlāo baajī
sardī aur garmī kā giit
saḳhtī aur narmī kā giit
rang-birange phūloñ kā
sāvan rut ke jhūloñ kā
rim-jhim rim-jhim phuvāroñ kā
aane vaalī bahāroñ kā
koī giit sunāo baajī
sab kā jī bahlāo baajī
yā phir pariyoñ vaalā giit
albelā matvālā giit
cham-cham karte tāroñ kā
chāñd se ujle pyāroñ kā
chamkīlā chamkīlā giit
ya.anī rang rañgīlā giit
koī giit sunāo baajī
sab kā jī bahlāo baajī
paapā aur mummy kā giit
daadā aur daadī kā giit
kaise sab ne mehnat kar ke
ghar āñgan ḳhushbū se bhar ke
ham ko apnā pyaar diyā hai
phūloñ kā gulzār diyā hai
aisā giit sunāo baajī
sab kā jī bahlāo baajī
achchhe bachchoñ vaalā giit
sachche bachchoñ vaalā giit
ujle ujle kapḌe pahne
pyāre pyāre juute pahne
jo schōl ko jaate haiñ
sab ke man ko bhāte haiñ
un kā giit sunāo baajī
sab kā jī bahlāo baajī
koi git sunao baji
sab ka ji bahlao baji
sardi aur garmi ka git
saKHti aur narmi ka git
rang-birange phulon ka
sawan rut ke jhulon ka
rim-jhim rim-jhim phuwaron ka
aane wali bahaaron ka
koi git sunao baji
sab ka ji bahlao baji
ya phir pariyon wala git
albela matwala git
cham-cham karte taron ka
chand se ujle pyaron ka
chamkila chamkila git
yani rang rangila git
koi git sunao baji
sab ka ji bahlao baji
papa aur mummy ka git
dada aur dadi ka git
kaise sab ne mehnat kar ke
ghar aangan KHushbu se bhar ke
hum ko apna pyar diya hai
phulon ka gulzar diya hai
aisa git sunao baji
sab ka ji bahlao baji
achchhe bachchon wala git
sachche bachchon wala git
ujle ujle kapDe pahne
pyare pyare jute pahne
jo school ko jate hain
sab ke man ko bhate hain
un ka git sunao baji
sab ka ji bahlao baji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.