gitanjali
jab bhī giit suntā huuñ
shaam kī havāoñ ke
kitne pyāre lagte haiñ
ye daraḳht ye paude
jaise merī gardan meñ
Daal kar koī bāheñ
merī dil kī sab bāteñ
mujh se pūchhnā chāhe
tum ko kaun sā ġham hai
kyuuñ udaas rahte ho?
tum pe jo guzartī hai
kah sako to kah Daalo
mujh se chāhte haiñ kuchh
ye hare hare patte
ye rafīq-e-tanhā.ī
ye chaman ke gul-būTe
kaash koī din aa.e
apne saare phūloñ ko
apnī be-zabānī kā
rāz-dāñ banā Dālūñ
vo kahāniyāñ jin se
raat raat bhar maiñ ne
apnī niiñd uḌaa.ī hai
un ko bhī sunā Dālūñ
aur saare gītoñ meñ
merā dard bhar jaa.e
aur saare pattoñ par
merā aks utar aa.e
jab bhi git sunta hun
sham ki hawaon ke
kitne pyare lagte hain
ye daraKHt ye paude
jaise meri gardan mein
Dal kar koi bahen
meri dil ki sab baaten
mujh se puchhna chahe
tum ko kaun sa gham hai
kyun udas rahte ho?
tum pe jo guzarti hai
kah sako to kah Dalo
mujh se chahte hain kuchh
ye hare hare patte
ye rafiq-e-tanhai
ye chaman ke gul-buTe
kash koi din aae
apne sare phulon ko
apni be-zabani ka
raaz-dan bana Dalun
wo kahaniyan jin se
raat raat bhar main ne
apni nind uDai hai
un ko bhi suna Dalun
aur sare giton mein
mera dard bhar jae
aur sare patton par
mera aks utar aae
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 143)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.