giraft
siyāh raat kā bādal saroñ se chhuTte hī
mire darīche ke nange safed shīshe par
na.e yaqīn ke sūraj ne apnī dastak dī
adhūre ḳhvāb mire TuuT ke bikhar se ga.e
ki jin ke rezoñ ko be-nūr jugnūoñ kī tarah
guzarte lamhoñ paroñ par uḌaa.e phirte haiñ
fazā meñ chāroñ taraf kirchiyāñ sī yādoñ kī
rupahlī dhuup meñ jhalkā rahī haiñ ā.īne
nazar meñ saare manāzir ke ang jhūTe haiñ
mire ḳhayāl kī jaane giraft kis par hai
sitāra-rang haiñ zarrāt chāñd sī hai zamīñ
lahū hai raat kā sūraj ke ābgīne haiñ
ki jis kā ātishī din par chaḌhā huā sā rang
sunahrā jaal hai zartār raushnī kā jaal
azāb-e-jāñ kī tarah ird-gird phailā huā
jise ki rangoñ kī āvāra surma.ī titlī
paroñ meñ shaam ko uljhā ke uḌne vaalī hai
maiñ sochtā huuñ hasīn uñgliyoñ se ḳhvāboñ kī
chamakte jugnū na pakḌūñ nigāh meñ rakh kar
tamām raat fazāoñ meñ us ko uḌne duuñ
siyah raat ka baadal saron se chhuTte hi
mere dariche ke nange safed shishe par
nae yaqin ke suraj ne apni dastak di
adhure KHwab mere TuT ke bikhar se gae
ki jin ke rezon ko be-nur jugnuon ki tarah
guzarte lamhon paron par uDae phirte hain
faza mein chaaron taraf kirchiyan si yaadon ki
rupahli dhup mein jhalka rahi hain aaine
nazar mein sare manazir ke ang jhuTe hain
mere KHayal ki jaane giraft kis par hai
sitara-rang hain zarraat chand si hai zamin
lahu hai raat ka suraj ke aabgine hain
ki jis ka aatishi din par chaDha hua sa rang
sunahra jal hai zartar raushni ka jal
azab-e-jaan ki tarah ird-gird phaila hua
jise ki rangon ki aawara surmai titli
paron mein sham ko uljha ke uDne wali hai
main sochta hun hasin ungliyon se KHwabon ki
chamakte jugnu na pakDun nigah mein rakh kar
tamam raat fazaon mein us ko uDne dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.