girdab
mohabbat aur sāhil se
zarā socho
ki ye sāhil
tumheñ maujoñ kī jānib pheñk detā hai
magar girdāb
āġhosh-e-mohabbat meñ tumheñ aise samotā hai
ki apnī zindagī ke saare ġham
tum bhuul jaate ho
vo ġham sadiyoñ se jin kī talḳhiyāñ
tum piite aa.e ho
sisak kar mauja-e-girdāb meñ
dam toḌ dete haiñ
dam toḌ dete haiñ
to phir yūñhī kaho
girdāb hī sāhil se behtar hai
mohabbat aur sahil se
zara socho
ki ye sahil
tumhein maujon ki jaanib phenk deta hai
magar girdab
aaghosh-e-mohabbat mein tumhein aise samota hai
ki apni zindagi ke sare gham
tum bhul jate ho
wo gham sadiyon se jin ki talKHiyan
tum pite aae ho
sisak kar mauja-e-girdab mein
dam toD dete hain
dam toD dete hain
to phir yunhi kaho
girdab hi sahil se behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.