gol kamre ko sajata hun
gol kamre ko sajātā huuñ tikonī ḳhvāhishoñ se
kaalī dīvāroñ pe
tere jism kī chaukor ḳhushbū Taañg dī hai
niilī chhat pe
dūdhiyā ḳhvāboñ ke jalte qumqume laTkā diye haiñ
khiḌkī ke shīshoñ pe
piilī ruuh ke sāyoñ ko chaspāñ kar diyā hai
nañge darvāze ko
andhī aarzū kā pairahan pahnā diyā hai
gūñge bistar par
na.ī tanhā.ī kī chādar bichhā kar
sone kī koshish karūñgā
derīna mahrūmiyoñ ke jañgaloñ meñ
khone kī koshish karūñgā
gol kamre ko sajata hun tikoni KHwahishon se
kali diwaron pe
tere jism ki chaukor KHushbu Tang di hai
nili chhat pe
dudhiya KHwabon ke jalte qumqume laTka diye hain
khiDki ke shishon pe
pili ruh ke sayon ko chaspan kar diya hai
nange darwaze ko
andhi aarzu ka pairahan pahna diya hai
gunge bistar par
nai tanhai ki chadar bichha kar
sone ki koshish karunga
derina mahrumiyon ke jangalon mein
khone ki koshish karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.