golkunDa ke sae mein
Interesting Fact
Published monthly "Sab Ras" Hyderabad 1967
golkunDā husn-e-tahzīb-o-tamaddun kā dayār
azmat-e-afsāna-e-hastī kī zinda yādgār
sar-bulandī se tirī miltā hai jhuk kar āsmāñ
zarre zarre meñ nazar aatā hai mehr-e-zau-fishāñ
in fazāoñ meñ pahuñch kar aah kho jaatā huuñ maiñ
gum ḳhayāloñ kī hasīn vaadī meñ ho jaatā huuñ maiñ
sāmne rukte haiñ kitne kārvān-e-rang-o-bū
jaise ye ḳhāmoshiyāñ kartī haiñ mujh se guftugū
fikr kī rāhoñ se chhaT jaatā hai sadiyoñ kā ġhubār
saañs letī haiñ bahāreñ jāgte haiñ kohsār
pattharoñ ke dil dhaḌakne kī sadā suntā huuñ maiñ
phuul umīdoñ ke isī gulzār meñ chuntā huuñ maiñ
vaqt ke hāthoñ meñ hai ā.īna-e-shām-o-sahr
jagmagā uTThe haiñ saare aarzū ke bām-o-dar
dekhtā kyā huuñ ki un sañgīñ fasīloñ ke tale
duur tak phaile hue haiñ zindagī ke silsile
nuur ke parcham nazar aate haiñ lahrāte hue
jhuum kar ik dāstān-e-shauq dohrāte hue
āsmāñ se TuuT kar dhartī pe aa jaate haiñ ḳhvāb
kitne hoñToñ kā tabassum kitne chehroñ ke gulāb
dilkashī afkār meñ hai bāñkpan jazbāt meñ
ek nā-mālūm nā-halchal hai mahsūsāt meñ
golkunDa husn-e-tahzib-o-tamaddun ka dayar
azmat-e-afsana-e-hasti ki zinda yaadgar
sar-bulandi se teri milta hai jhuk kar aasman
zarre zarre mein nazar aata hai mehr-e-zau-fishan
in fazaon mein pahunch kar aah kho jata hun main
gum KHayalon ki hasin wadi mein ho jata hun main
samne rukte hain kitne karwan-e-rang-o-bu
jaise ye KHamoshiyan karti hain mujh se guftugu
fikr ki rahon se chhaT jata hai sadiyon ka ghubar
sans leti hain bahaaren jagte hain kohsar
pattharon ke dil dhaDakne ki sada sunta hun main
phul umidon ke isi gulzar mein chunta hun main
waqt ke hathon mein hai aaina-e-sham-o-sahr
jagmaga uTThe hain sare aarzu ke baam-o-dar
dekhta kya hun ki un sangin fasilon ke tale
dur tak phaile hue hain zindagi ke silsile
nur ke parcham nazar aate hain lahraate hue
jhum kar ek dastan-e-shauq dohraate hue
aasman se TuT kar dharti pe aa jate hain KHwab
kitne honTon ka tabassum kitne chehron ke gulab
dilkashi afkar mein hai bankpan jazbaat mein
ek na-malum na-halchal hai mahsusat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.