gomti git ga rahi hai suno
maiñ ki tahzīb kā ik hasīñ baab thī
sāz-e-ulfat ke tāroñ kā mizrāb thī
tīrgī meñ bhī ham-rang-e-mahtāb thī
ārzuoñ kā ik marmarīñ ḳhvāb thī
merā dāman gulāboñ kī mahkār thā
merī āġhosh meñ pyaar hī pyaar thā
muskurātī thiiñ yuuñ dhaan kī bāliyāñ
jaise dehāt kī kam-suḳhan laḌkiyāñ
vo kisānoñ kī ulfat-bharī gāliyāñ
lok gītoñ meñ haiñ jin kī parchhā.iyāñ
jin kī tahzīb merī ravānī meñ hai
jin kī zinda-dilī mere paanī meñ hai
maiñ hamesha sukūñ kī payāmī rahī
mere paanī meñ ik ḳhush-ḳhirāmī rahī
mere naġhmāt kī dhun avāmī rahī
merī qismat meñ lekin ġhulāmī rahī
āḳhirash mujh ko sailāb ne Das liyā
narm bāñhoñ ko tūfān ne kas liyā
merī nāzuk kalā.ī ke kangan luTe
mere dāman ke shādāb gulshan luTe
ya.anī fasloñ ke bharpūr joban luTe
jhoñpaḌe hī nahīñ balki āñgan luTe
maa.eñ bachchoñ se apne judā ho ga.iiñ
bahte paanī meñ kyā jaane kyā ho ga.iiñ
kashtiyoñ kī tarah gaañv bahte rahe
aur qudrat kā har vaar sahte rahe
abr-o-bārāñ ke saa.e meñ rahte rahe
bevafā merī maujoñ ko kahte rahe
khet khaliyān hal jhoñpaḌe chhuT ga.e
aur jiyāle kisānoñ ke dam ghuT ga.e
nā-ḳhudāoñ ko lekin ḳhabar tak na thī
rahnumāoñ ko lekin ḳhabar tak na thī
sūrmāoñ ko lekin ḳhabar tak na thī
kaj-adāoñ ko lekin ḳhabar tak na thī
yak-ba-yak lakhna.ū shahr bahne lagā
goyā paanī meñ kul dahr bahne lagā
ik zarā shāhrāheñ nihāñ ho ga.iiñ
ganj kī raunaqeñ be-nishāñ ho ga.iiñ
muddatoñ ke liye nauha-ḳhvāñ ho ga.iiñ
tab-e-nāzuk pe bār-e-garāñ ho ga.iiñ
shor uTThā ki tahzīb ḳhatre meñ hai
ādamiyyat musībat ke narġhe meñ hai
phir to lākhoñ yahāñ kashtiyāñ aa ga.iiñ
le ke imdād meñ roTiyāñ aa ga.iiñ
fauj vāloñ kī kul bastiyāñ aa ga.iiñ
aur ġharīboñ ne pūchhā kahāñ aa ga.iiñ
gaañv vāloñ kī auqāt hī aur thī
rājdhānī kī kuchh baat hī aur thī
main ki tahzib ka ek hasin bab thi
saz-e-ulfat ke taron ka mizrab thi
tirgi mein bhi ham-rang-e-mahtab thi
aarzuon ka ek marmarin KHwab thi
mera daman gulabon ki mahkar tha
meri aaghosh mein pyar hi pyar tha
muskuraati thin yun dhan ki baaliyan
jaise dehat ki kam-suKHan laDkiyan
wo kisanon ki ulfat-bhari galiyan
lok giton mein hain jin ki parchhaiyan
jin ki tahzib meri rawani mein hai
jin ki zinda-dili mere pani mein hai
main hamesha sukun ki payami rahi
mere pani mein ek KHush-KHirami rahi
mere naghmat ki dhun awami rahi
meri qismat mein lekin ghulami rahi
aaKHirash mujh ko sailab ne Das liya
narm banhon ko tufan ne kas liya
meri nazuk kalai ke kangan luTe
mere daman ke shadab gulshan luTe
yani faslon ke bharpur joban luTe
jhonpaDe hi nahin balki aangan luTe
maen bachchon se apne juda ho gain
bahte pani mein kya jaane kya ho gain
kashtiyon ki tarah ganw bahte rahe
aur qudrat ka har war sahte rahe
abr-o-baran ke sae mein rahte rahe
bewafa meri maujon ko kahte rahe
khet khaliyan hal jhonpaDe chhuT gae
aur jiyale kisanon ke dam ghuT gae
na-KHudaon ko lekin KHabar tak na thi
rahnumaon ko lekin KHabar tak na thi
surmaon ko lekin KHabar tak na thi
kaj-adaon ko lekin KHabar tak na thi
yak-ba-yak lakhnau shahr bahne laga
goya pani mein kul dahr bahne laga
ek zara shahrahen nihan ho gain
ganj ki raunaqen be-nishan ho gain
muddaton ke liye nauha-KHwan ho gain
tab-e-nazuk pe bar-e-garan ho gain
shor uTTha ki tahzib KHatre mein hai
aadamiyyat musibat ke narghe mein hai
phir to lakhon yahan kashtiyan aa gain
le ke imdad mein roTiyan aa gain
fauj walon ki kul bastiyan aa gain
aur gharibon ne puchha kahan aa gain
ganw walon ki auqat hi aur thi
rajdhani ki kuchh baat hi aur thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.