grihasti
ik tazabzub kī sarā.e
sā.atoñ ke mel se
bojhal magar raushan chhateñ dīvār-o-dar
aur rāh-darī meñ ubhartī
ajnabī qadmoñ kī
halkī tez chaap
aur ḳhāmoshī kā lams jaise sā.ibā
phir sahn meñ aa kar utarte
qāfiloñ kī fāsloñ se chor āvāzeñ
safar meñ yuuñ achānak aane vaale
is paḌāv kī
lipaTtī mezbāñ ThanDak se
sehar-āgīñ tarāvat pā rahī haiñ
sīḌhiyoñ se duur
dālānoñ ke goshe meñ khaḌā ik aks
apne ham-nashīnoñ
ham-rakāboñ kā amiir
un kā muhibbī
phir bhī
is tashkīk kī
billor saa.at meñ
har ik se bad-gumāñ
is soch meñ ġhaltāñ
ki jaise
is safar ho rā.egāñ
ek tazabzub ki sarae
saaton ke mel se
bojhal magar raushan chhaten diwar-o-dar
aur rah-dari mein ubharti
ajnabi qadmon ki
halki tez chap
aur KHamoshi ka lams jaise saiba
phir sahn mein aa kar utarte
qafilon ki faslon se chor aawazen
safar mein yun achanak aane wale
is paDaw ki
lipaTti mezban ThanDak se
sehar-agin tarawat pa rahi hain
siDhiyon se dur
dalanon ke goshe mein khaDa ek aks
apne ham-nashinon
ham-rakabon ka amir
un ka muhibbi
phir bhi
is tashkik ki
billor saat mein
har ek se bad-guman
is soch mein ghaltan
ki jaise
is safar ho raegan
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 483)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.