ghubar-e-karwan
har-nafas par ham mizāj-e-bāġhbāñ dekhā kiye
yaas kī nazroñ se apnā āshiyāñ dekhā kiye
dekhne vaale bahār-e-gulistāñ dekhā kiye
ham bahāroñ ke pas-e-parda ḳhizāñ dekhā kiye
kar hī kyā sakte the jaur-e-āsmāñ dekhā kiye
TūTtī bijlī ujaḌtā āshiyāñ dekhā kiye
hausla-mandoñ ne pā lī manzil-e-maqsūd bhī
aur ham uḌtā ġhubār-e-kārvāñ dekhā kiye
ham ne dil kī baat kah kar farz puurā kar diyā
ahl-e-fan ahl-e-zabāñ tarz-e-bayāñ dekhā kiye
vaqt kī sāzish hameñ kartī rahī apnā shikār
aur ham hasrat se sū-e-asmāñ dekhā kiye
dil kā samjhānā na thā bas meñ kisī ke ai 'nadīm'
mehrbāñ dekhā kiye nā-mehrbāñ dekhā kiye
intihā ye hai ki ham ne jaan bhī de dī magar
shak kī nazroñ se hamīñ ko bāġhbāñ dekhā kiye
dostoñ ne kar diyā barbād ham ko ai 'razī'
aur ham dil meñ hisāb-e-dostāñ dekhā kiye
har-nafas par hum mizaj-e-baghban dekha kiye
yas ki nazron se apna aashiyan dekha kiye
dekhne wale bahaar-e-gulistan dekha kiye
hum bahaaron ke pas-e-parda KHizan dekha kiye
kar hi kya sakte the jaur-e-asman dekha kiye
TuTti bijli ujaDta aashiyan dekha kiye
hausla-mandon ne pa li manzil-e-maqsud bhi
aur hum uDta ghubar-e-karwan dekha kiye
hum ne dil ki baat kah kar farz pura kar diya
ahl-e-fan ahl-e-zaban tarz-e-bayan dekha kiye
waqt ki sazish hamein karti rahi apna shikar
aur hum hasrat se su-e-asman dekha kiye
dil ka samjhana na tha bas mein kisi ke ai 'nadim'
mehrban dekha kiye na-mehrban dekha kiye
intiha ye hai ki hum ne jaan bhi de di magar
shak ki nazron se hamin ko baghban dekha kiye
doston ne kar diya barbaad hum ko ai 'razi'
aur hum dil mein hisab-e-dostan dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.