guftugu nazm nahin hoti hai
guftugū ke haath nahīñ hote
magar TaToltī rahtī hai dar-o-dīvār
phaaḌ detī hai chhat
shaq kar detī hai sūraj kā siina
uñDel detī hai hiddat-añgez laavā
ḳhākistar ho jaatā hai havā kā jism
guftugū pahlū badaltī hai
aur zamīn āsmān kī jagah le letī hai
raaj hañs dāstānoñ meñ sar chhupā lete haiñ
ūñTniyāñ duudh denā band kar detī haiñ
aur thūthniyāñ āsmān kī taraf uThā.e sahrā ko bad-duā.eñ dene lagtī haiñ
haijānī niiñd palkeñ ukheḌne lagtī hai
aur kachchī nazmeñ sar uThāne lagtī haiñ
guftugū ke paañv nahīñ hote
luḌhaktī phirtī hai
maarī jaatī hai sāñsoñ kī bhagdaḌ meñ
kafnā dī jaatī hai
logoñ ke libās khīñch kar
kāfūr kī tez bū
lipaT jaatī haiñ siine ke pinjar se
aur nazm adhūrī rah jaatī hai
guftugu ke hath nahin hote
magar TaTolti rahti hai dar-o-diwar
phaD deti hai chhat
shaq kar deti hai suraj ka sina
unDel deti hai hiddat-angez lawa
KHakistar ho jata hai hawa ka jism
guftugu pahlu badalti hai
aur zamin aasman ki jagah le leti hai
raj hans dastanon mein sar chhupa lete hain
unTniyan dudh dena band kar deti hain
aur thuthniyan aasman ki taraf uThae sahra ko bad-duaen dene lagti hain
haijaani nind palken ukheDne lagti hai
aur kachchi nazmen sar uThane lagti hain
guftugu ke panw nahin hote
luDhakti phirti hai
mari jati hai sanson ki bhagdaD mein
kafna di jati hai
logon ke libas khinch kar
kafur ki tez bu
lipaT jati hain sine ke pinjar se
aur nazm adhuri rah jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.