gul-e-be-ghairat
gul khilātī huī barsāt ke mausam kī parī
sub.h kī god meñ lahrātā huā kahlā gaañv
sāmne aañkh ke gaatā huā us meñ tālāb
duur tak bikhrī huī dasht-e-tarab-rez meñ chhāñv
ik ajab shaan se jote hue khetoñ ke qarīb
khil rahe haiñ harī shāḳhoñ pe gul-e-be-ġhairat
kāsnī rang ke ye phuul bhī rakhte haiñ kashish
kis liye tang-nazar karte haiñ in se nafrat
har jagah phuul ye khilte haiñ ajab naaz ke saath
chāhe vo dasht ho yā menD ho yā ho maidāñ
sehn-e-gulshan se nahīñ hai inheñ koī raġhbat
in ko marġhūb hai dar-asl maqām-e-vīrāñ
kyoñ laqab in ko diyā logoñ ne be-ġhairat kā
tang nazroñ ne kiyā asl meñ insāf kā ḳhuuñ
quvvat-e-faislā kā in meñ hai shāyad fuqdān
aql-o-dānish kī jagah in meñ hai maujūd junūñ
dar-haqīqat ye hasīñ gul haiñ bahut dariyā-dil
ġhaur se dekhiye in phūloñ kī fayyāzī ko
har jagah rahte haiñ tayyār ye khilne ke liye
nazar-andāz kiyā logoñ ne is ḳhūbī ko
kyā zarūrat hai ki har phuul khile gulshan meñ
kis liye rang se mahrūm raheñ vīrāne
hai munāsib yahī sahrāoñ meñ bhī phuul khileñ
nazar aane lageñ maidānoñ meñ bhī paimāne
gul khilati hui barsat ke mausam ki pari
subh ki god mein lahraata hua kahla ganw
samne aankh ke gata hua us mein talab
dur tak bikhri hui dasht-e-tarab-rez mein chhanw
ek ajab shan se jote hue kheton ke qarib
khil rahe hain hari shaKHon pe gul-e-be-ghairat
kasni rang ke ye phul bhi rakhte hain kashish
kis liye tang-nazar karte hain in se nafrat
har jagah phul ye khilte hain ajab naz ke sath
chahe wo dasht ho ya meinD ho ya ho maidan
sehn-e-gulshan se nahin hai inhen koi raghbat
in ko marghub hai dar-asl maqam-e-viran
kyon laqab in ko diya logon ne be-ghairat ka
tang nazron ne kiya asl mein insaf ka KHun
quwwat-e-faisla ka in mein hai shayad fuqdan
aql-o-danish ki jagah in mein hai maujud junun
dar-haqiqat ye hasin gul hain bahut dariya-dil
ghaur se dekhiye in phulon ki fayyazi ko
har jagah rahte hain tayyar ye khilne ke liye
nazar-andaz kiya logon ne is KHubi ko
kya zarurat hai ki har phul khile gulshan mein
kis liye rang se mahrum rahen virane
hai munasib yahi sahraon mein bhi phul khilen
nazar aane lagen maidanon mein bhi paimane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.