gul-e-KHud-rau
na jaane ye gul-e-ḳhud-rau
zamīñ kī saḳht parteñ chiir kar
kab khil uThā aise
ki saarā baaġh us kī sar-kashī par
dam-ba-ḳhud sā hai
kisī mashshāq hāthoñ ne na boyā hai
na sīñchā hai
kisī ne parvarish kī hai
na nigrānī meñ rakkhā hai
ye gahre chīḳhte rangoñ meñ
apne hone kā elaan
kuchh aise kiye jaatā hai ki
nazreñ bachānā bhī bahut mushkil
abhī zer-e-zamīñ kyā jaane kitne kasmasāte haiñ
daraḳhtoñ meñ hai sargoshī
mushavvash lāla-e-rangīñ
na jaane ye gul-e-KHud-rau
zamin ki saKHt parten chir kar
kab khil uTha aise
ki sara bagh us ki sar-kashi par
dam-ba-KHud sa hai
kisi mashshaq hathon ne na boya hai
na sincha hai
kisi ne parwarish ki hai
na nigrani mein rakkha hai
ye gahre chiKHte rangon mein
apne hone ka elan
kuchh aise kiye jata hai ki
nazren bachana bhi bahut mushkil
abhi zer-e-zamin kya jaane kitne kasmasate hain
daraKHton mein hai sargoshi
mushawwash lala-e-rangin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.