gul-nama
khil ke hañstā hai mahaktā hai bikhar jaatā hai gul
ik hī din meñ sau havādis se guzar jaatā hai gul
thaal meñ puujā ke yā bāloñ meñ doshīza ke
shāḳh se ho ke judā dekho kidhar jaatā hai gul
rashk hotā hai hameñ us ke muqaddar pe bahut
le ke paiġhām jo mahbūb ke ghar jaatā hai gul
gul-badan hogā koī yaad meñ jis kī har din
aa ke chup-chāp koī qabr pe dhar jaatā hai gul
jo masaltā hai use bhī hai mo'attar kartā
dushmanoñ se bhī sulūk achchhā hī kar jaatā hai gul
yuuñ to har rang kī poshāk meñ lagtā hai bhalā
os ke motiyoñ se aur nikhar jaatā hai gul
rāz-e-qudrat hameñ samjhāyā hai ik gul ne 'sadā'
gul na.e khilte raheñ is liye jhar jaatā hai gul
khil ke hansta hai mahakta hai bikhar jata hai gul
ek hi din mein sau hawadis se guzar jata hai gul
thaal mein puja ke ya baalon mein doshiza ke
shaKH se ho ke juda dekho kidhar jata hai gul
rashk hota hai hamein us ke muqaddar pe bahut
le ke paigham jo mahbub ke ghar jata hai gul
gul-badan hoga koi yaad mein jis ki har din
aa ke chup-chap koi qabr pe dhar jata hai gul
jo masalta hai use bhi hai mo'attar karta
dushmanon se bhi suluk achchha hi kar jata hai gul
yun to har rang ki poshak mein lagta hai bhala
os ke motiyon se aur nikhar jata hai gul
raaz-e-qudrat hamein samjhaya hai ek gul ne 'sada'
gul nae khilte rahen is liye jhar jata hai gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.