gulab aur kapas
khet meñ kaam kartī huī laḌkiyāñ
jeTh kī champa.ī dhuup ne
jin kā sonā badan surma.ī kar diyā
jin ko rātoñ meñ os aur paale kā bistar mile
din ko sūraj saroñ par jale
ye hare lawn meñ
sañg-e-marmar kī benchoñ pe baiThī huī
in hasīñ mūratoñ se kahīñ ḳhūb-sūrat
kahīñ muḳhtalif
jin ke joḌe meñ juuhī kī kaliyāñ sajīñ
jo gulāb aur bele kī ḳhushbū piyeñ
aur rañgoñ kī hiddat se pāgal phireñ
khet meñ dhuup chuntī huī laḌkiyāñ bhī
na.ī umr kī sabz dahlīz par haiñ magar
ā.īna tak nahīñ dekhtīñ
ye gulāb aur daisy kī hiddat se nā-āshnā
ḳhushbūoñ ke javāñ lams se be-ḳhabar
phuul chuntī haiñ lekin pahantī nahīñ
un ke malbūs meñ
tez sarsoñ ke phūloñ kī baas
un kī āñkhoñ meñ raushan kapās
khet mein kaam karti hui laDkiyan
jeTh ki champai dhup ne
jin ka sona badan surmai kar diya
jin ko raaton mein os aur pale ka bistar mile
din ko suraj saron par jale
ye hare lawn mein
sang-e-marmar ki benchon pe baiThi hui
in hasin muraton se kahin KHub-surat
kahin muKHtalif
jin ke joDe mein juhi ki kaliyan sajin
jo gulab aur bele ki KHushbu piyen
aur rangon ki hiddat se pagal phiren
khet mein dhup chunti hui laDkiyan bhi
nai umr ki sabz dahliz par hain magar
aaina tak nahin dekhtin
ye gulab aur daisy ki hiddat se na-ashna
KHushbuon ke jawan lams se be-KHabar
phul chunti hain lekin pahanti nahin
un ke malbus mein
tez sarson ke phulon ki bas
un ki aankhon mein raushan kapas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.